Monday, April 21, 2025
HomeIndiaJamaat-e-Islami Hind ne Nankana sahib waqea ki mozammat ki

Jamaat-e-Islami Hind ne Nankana sahib waqea ki mozammat ki

New Delhi: Muslim tanzeem Jamaat-e-Islami Hind ne Pakistan ke Nankana Sahib Gurudwara  mein pathrao ke waqeye ki muzammat ki hai aur mutalba kiya hai ke is waqea mein mulawis afraad ko giraftar kiya jaye. Jamaat Islami ke sadar Sadatullah Hussaini ne kaha ke hum mutalba karte hain ke Pakistan hukumat is waqeye mein mulawis afraad ko giraftar kere aur zaireen ko tahaffuz faraham kiya jaye.

Jamaat ke naib sadar Saleem Engineer ne kaha ke ”hukumat Pakistan ka farz hai ke wo mazhabi maqam ki hifazat, Aur hurmat ko yakeeni banaye aur aur Sikh baradri ke arkaan ko kisi bhi tashadud, Aatish zani aur taqreeb kaari mehfooz rakhay“. Jamaat ko umeed hai ke maamla hal hojayega aur mujrimoun ke khilaaf bar waqt karwai ki jayegi.

Wazeh ho ke, Jummay ke roz, Gurudwara  par musalmanoun ke ek baday hajhoom ne hamla kiya tha, Jabkay Sikh aqeedat mand andar phas gaye they. Bahar jama hue hajhoom ne aqliati baradri ke khilaaf firqa waranah aur nafrat angaiz naaray baazi ki aur pathrao kiya. Media reports ke mutabiq, Is mushtael hajhoom ki qayadat Mohammad Hassan ke ahal khanah kar raha tha.

Mohammad Hassan par guzashta saal Nankana Sahib ki ek Sikh ladki Jagjit Kaur ko aghwa kara aur zabardasti Islam qubool kar vake, Is ke sath nikah karne ka ilzaam hai. Ye ladki Nankana Sahib Gurudwara ke hi Gorantti ki beti hai. Hujhoom ki qayadat kar rahay logoun ka kehna tha ke Pakistan mein Sikh baradri tabdeeli mazhab ko le kar hungama karti rehti hai. –YTN STAFF