Sunday, May 12, 2024
HomeIndiaJallianwala wala Bagh qaumi Memorial ( Tarmeemi ) bill, Aaj Raj Sabha...

Jallianwala wala Bagh qaumi Memorial ( Tarmeemi ) bill, Aaj Raj Sabha may pesh kiya jayega

New Dehli: Jallianwala Bagh qaumi Memorial ( Tarmeemi ) bill 2019, jo August may Lok Sabha se pehlay hi manzoor huwa tha, mangal ko Raj Sabha may pesh kiya jaye ga. Bill may Jallianwala Bagh qaumi yadgar chalanay walay trust ke mustaqil Member ki hesiyat se Congress ke sadar ko hataane ki koshish ki gayi hai. is Bill may bator-e-motamad, ”Indian National Congress ke sadar “ka  tazkurrah khatam karne ki koshish ki gayi hai aur hukoomat ko naamzad members ko hataane ka ikhtiyar diya gaya hai.

Ye Bill Congress ke ehtijaj aur walk out ke darmain, August may Lok sabha may manzoor kiya gaya tha. is Bill may ye bataya gaya hai ke agar ewaan zaireen may Opposition ka koi rehnuma mojood na honay ki soorat may, sab se badi Opposition Party ke rehnuma ku mutamad banaya jayega. is se qabal Opposition jamaatoun ko manzoor kardah tarameem ko Votes ki taqseem se shikast hogayi thi.

Filhaal, wazeer-e-aazam Narendra Modi Trust ki sarbarahi karte hain. Wazeer-e-aazam ke ilawa Congress ke sadar, markazi wazeer-e-saqafat, Lok Sabha may qaid Opposition, aur wazeer-e-aala aur Punjab ke Governor Board may shaamil hain. Center ka ye iqdaam Jallianwala qatal aam ke sad sala saal may aaya hai, jo 13 April 1919 ko is waqt pesh aaya tha, jab Bartania fouj ne 13 April 1919 ko Baisaakhi tehwar par Amritsar may hazaroun par aman muzahireen ke hujhoom par andha dhund firing kar di thi. -YTN STAFF