Saturday, September 14, 2024
HomeIndiaJallian wala baagh ke qatal aam ke 100 saal mukammal, Kovind ,...

Jallian wala baagh ke qatal aam ke 100 saal mukammal, Kovind , Modi aur Rahul Gandhi ne shaheedon ko paish Kiya khiraj-e- aqeedat

New Delhi/Amritsar:  Sadar Ramnath Kovind , wazeer-e-aazam Narendra Modi aur congress sadar Rahul Gandhi sameit mukhtalif party ke leadroun ne hafta ko Jallian wala baagh ke qatale aam ke 100 saal mukammal honay ke mauqa par is saneha ke shaheedoun ko khiraaje aqeedat paish kiya .

Sadar jamhooria Ramnath Kovind  ne Twitter par likha 100 saal qabal aaj hi ke din hamaray mujahideen azaadi Jallian wala baagh mein shaheed hue they. woh khuofnaak qatale aam tahazeeb par kalank hai. qurbani ka woh din hindostan kabhi faramosh nahi kar sakta .

wazeer-e-aazam Narendra  Modi ne Tweet kiya aaj khofnaak Jallian wala baagh ke 100 saal poooray ho gaye hain. mulk is din shaheed honay walay tamam logon ko khiraaj paish karta hai. unki bahaduri aur qurbani ko kabhi bhulaya nahi ja sakay ga .

Wahein Congress saddar Rahul Gandhi ne Punjab mein

Amritsar ke Jallian wala baagh mein waqay yadgar par shaheedon ko kharaaj aqeedat paish kiya. is douran Sonia gandhi ke alawa Punjab ke wazeer-e-aala Amarinder Singh  aur wazeer Navjot Singh Sidhu bhi mojood they .

Wazeh rahay ke 100 saal pehlay aaj hi ke din yani 13th  April 1919 ko Amritsar ke Jallian wala baagh mein ek pur aman tareeqa se a Ahtejaaj kar rahay hazaron Hindustaniyoun par Bartanwi Brigadier General Reginald Dyer  aur  ne be bas wabay qasoor Hindustaniyoun par goliyan chalwayin theen. is waqea mein hazaron log shaheed hue they. jin mein bachay bhi shaamil they. Jallian wala baagh qatal aam Bartanwi bashindoun ke khilaaf Hindustan ki azaadi ki jaddo jehed ke sab se qadeem wo siyah babon mein se ek  hai .

Bartanwi hukoomat ne 100 saal baad is qatale aam par afsos jataayaa hai, magar Mafi mangnay se khud  ko rokay rakha. Britain ki wazeer-e-aazam Theresa May ki janib se kiye gaye izhaare afsos ko na kaafi qarar dete hue Punjab ke wazeer-e-aala Amrinder Singh ne sarkari tor par Mafi mangnay ki maang ki hai .- YTN STAFF