Friday, May 3, 2024
HomeIndiaJald hi bengal mein AIMIM party ka aaghaz hoga

Jald hi bengal mein AIMIM party ka aaghaz hoga

Kolkata : Maghribi bangal ki wazeer-e-aala Mamata Banerjee par unki party ke kaarkunoun ko girftar karne aur dhamki dene ka ilzaam aaed karte hue, AIMIM ke reyasti Incharge ka kehna hai ke wo dhamki aamaiz hathkndoun ke khilaaf adalat se ruju karenge. Unhon ne  kaha ke January mein Kolkata mein ek mega Rally ki tayari AIMIM ke rehnuma zameer ul Hasan ne  kaha ke ”riyast mein police ahelkaar wazeer-e-aala ke isharay par hamaray rehnumaoun ke sath bad-sulooki kar rahay hain, aur inhen dhamkiyan dey rahay hain ke woh siyasi programme nah karen. Hasan ne ilzaam aaed kiya ke party ke Malda district incharge Matiur Rahaman ko ek social media post ke liye girftar kiya gaya tha, jis mein unhon ne  mamta Banerjee hukoomat ki policies ko tanqeed ka nishana banaya tha. police ke mutabiq Rehman par cyber crime aur hattak izzat ka muqadma darj kiya gaya hai.

Riyasat mein sabhi intikhabaat ladhne  ka iradah rakhnay wali AIMIM ne  abhi tak apni bengal unit ka ba-zabita aaghaz nahi kiya. Hasan ne  kaha ke hum January mein Kolkata ke Brigade Parade Ground mein mega Rally nikaal kar party ka aaghaz karne ka iradah rakhtay hain, jis mein party ke sarbarah Asaduddin owaisi ka kalidi khitaab hoga“.

Unhon ne  kaha ke AIMIM mahino se riyasat mein kaam kar rahi hai, azlaa mein ijlaas munaqqid karti hai, jis mein kaafi tadaad mein awam ki shirkat darj ki jati hai. Purulia and Darjeeling ke alawa, hamaray paas deegar 21 azlaa mein tanzeem hai. riyasat ke beshtar blocks mein hamaray 10,000 taa 15,000 arkaan hain.

Unhon ne  Mamta banerjee hukoomat ke imam aur muezzins ko allowence dainay ke tasawwur ko bhi jhoota qarar diya. aur jo waqf fund se mahana allowence diye ja rahay hain, ye sarkari raqam nahi hai. Waqf fund ab 400 crore se kam hokar 200 crore rupaye hogaya hai. –YTN STAFF