Monday, May 6, 2024
HomeIndiaJail mein mere sath dehshat gardoun jaisa sulooq: Azam Khan

Jail mein mere sath dehshat gardoun jaisa sulooq: Azam Khan

Sitapur: Samajwadi Party Senior Leader Rampur rukan parliaman Azam Khan ne muqadma ki samaat ke liye Sitapur Jail se Rampur ke liye rawana honay se qabal kaha ke un ke sath dehshat gard jaissa sulooq kiya ja raha hai. Azam Khan ko ek muqadma ki samaat ke muamlay mein Rampur mein MP. MLA Court mein pesh hona tha. Rampur rawana honay se qabal Azam ne Media numaindoun se kaha ke Jail mein un ke sath aisa sulooq kiya ja raha hai goya wo koi dehshat gard hain.

Rukan Parliament un ke betay Abdullah ke sath Sitapur Jail mein sakht Security ke darmain Jail mein rakha gaya hai jabkay un ki biwi MLA Tanzeen Fatima ko khatoon Jail mein rakha gaya hai. SP rukan Parliament jahan Jail mein raat bhar so nahi pa rahe hain wahein biwi Tanzeen ne kamar dard ki shikayat ki hai.

SP sarbarah Akhilesh Yadav ne rukan Parliament aur un ke afraad khandan se Sitapur Jail mein mulaqaat ke baad kaha tha ke Azam Khan ko siyasi dushmani mein Jail mein rakha gaya hai. Betay Abdullah Azam ke farzi paidaiesh Certificate ke muamlay mein Rampur ki ek adalat mein khud supurdagi ke baad adalat ne Azam Khan aur un ki biwi o betay ko 02 March tak adalti tehweel mein Jail mein bhaij diya tha.

Wahein doosri janib Azam khandan ko baghair adalat ko mutala kiye Rampur Jail se Sitapur Jail muntaqil kiye jaaney par jummay ko Rampur adalat ne Rampur zila o jail intizamia se jawab talabb kiya hai. Azam konbe ki janib se adalat mein arzi daakhil karne walay wakeel Danish Khan ne kaha ke hum ne adalat ke samnay mobayyana ghalat tareeqay se tenu leaders ko Rampur se Sitapur Jail muntaqil kiye jaaney ke khilaaf arzi daakhil ki hai.

Mister Danish ke mutabiq darazi omar ki wajah se Azam aur Tanzeen ko muqadma ki samaat ke liye Sitapur se Rampur tak ka har baar safar karna pareshani ka baais hoga. Adalat ne zila intizamia aur Jail intizamia se is baat par jawab talabb kiya hai ke tenu leaders ko adalat ko mutala kiye baghair kyun muntaqil kiya gaya.

Azam khandan ko Jail mein bhejnay ke baad Rampur Police ne kaha hai ke wo adalat se dosray muqadmaat mein bhi rukan Parliament ko Remand par lainay ijazat talabb kere gi. Azam Khan ku majmoyi tor se 86 muqadamoun ka saamna karna pad raha hai jo Rampur zila intizamia ne guzashta saal ke mah April se un ke khilaaf darj kiye hain.

Wahein doosri janib Allahabad High Court ki janib se Abdullah Azam ko Assembly Election ke liye ghair majaz qarar dyie janay ke baad Uttar Pradesh Assembly ne jumaraat ko Abdullah Azam ki Assembly se rukniat khatam karte huve un ki Assembly nest sawaar ko khaali qarar day diya. Allahabad High Court ne apne faislay mein kaha ke Abdullah jis waqt Assembly intikhabaat ke liye muntakhib huve they un ki omar 25 saal nahi thi is liye wo Assembly ki rukniat ke liye majaz nahi hai. Wahein Abdullah ne High Court ke is faislay ko Supreme Court mein Challenge kiya hai. –YTN STAFF