Monday, May 13, 2024
HomeHyderabadJahez ke liye harasan karne ke muqadmay mein CCTV footage se naya...

Jahez ke liye harasan karne ke muqadmay mein CCTV footage se naya modh aaya

Hyderabad : Hyderabad High Court ke ek retired judge, unki ahliya aur betay ki janib se mubaiyana tor par apni Bahu ke sath Chedh Khani ki CCTV footage ki ek clip social media par viral hogayi hai, jis ne 6 mahinay puranay Jahez ke liye harasan karne ke maamla ko ek naya modh diya hai.

Video mein dekhaya gaya hai ke Sindhu Sharma ko teeno ki janib se ghaseeta gaya hai aur dhaka bhi diya gaya, yahan tak ke unki do betiyan khaufzadah nazar aa rahi hain. Dedh saal ka chota bacha, apni maa ki taraf badhne ki koshish karta hai, lekin usay uskay walid ke janib se roka jata hai.

30 sala khatoon ne footage jari kiya, jis mein ilzaam lagaya hai Nooty Ramamohana Rao, unki ahliya Nooty Durga Jayalakshmi, aur un ke betay Nooty Vashishta ne is ke sath par tashadud sulooq kiya. CCTV footage Hyderabad ke jubilee hills mein 20 April ki raat sabiq judge ke ghar ka tha.

Mutasira khatoon ko medical record ke sath ek corporate hospital mein daakhil karaya gaya, jahan is ne seenay, baazu aur kandhay par zakham aaye they. baad mein woh apne walidain ke ghar wapas chali gayi aur apne shohar aur sasural walon ke khilaf jahez ke liye harasan karne ka muqadma darj karwaya.

Is ki shikayat par central crime station ne ram mohan, un ki laxmi aur betay Vashishta  ke khilaf dafaa 498-a ( shadi shuda aurat ko zulm ka nishana bananay ki saza ), 323 ( raza karana tor par choth pohanchanay ) aur 406 ( tazirat hind aur tazirat qanoon act ki mujremana khilaaf varzi ) ke tehat muqadma darj kiya.

Jabkay mutasirah khatoon ne sasural walon ne iske sath tashadud karne aur jahez ke liye harasan karne se inkaar kiya, aur ilzaam lagaya ke woh jaedad ko taqseem karne ka mutalba kar rahi hai, jis ke liye woh 2 baar khud kushi bhi karne ki koshish ki.

Wazeh  hoke Ram Mohan 2016 mein Hyderabad High Court mein senior judge they. unhon ne Madras High Court mein khidmaat anjaam dete hue 2017 mein retire hue they. –YTN STAFF