Hyderabad. Telangana ke Jagtial zila mein paahadi ki aik ghaat Road par se Telangana RTC ki aik Bus ke khayi mein girjane se kam az kam 52 afraad bashmool 4 bachay halaak hogaye jabkay deegar 10 zakhmi hogaye. superintendent of Police Jagtial Mr. Snidhu Sharma ney hadisa ke fauri baad bataya tha ke ab tak 45 Musafireen halaak ho chukay hain aur zakhmion ko qareebi sarkari Hospitalon mein muntaqil kiya gaya hai, baad mein mausoola ittela ke mutabiq shaded 7 zakhmi bhi jaanbar nahin ho sake. Jagtial Bus Depot ki yeh Bus jis mein 60 se zayed musafireen safar kar rahay thae, Shaniwaarpet moza se barah kondaghatu Road aur Mutiampet villages Jagtial jarahi thi ke 11:45 bajey din khayi mein girgaee jis ke baayis yeh haadsa paish aaya. 2 darjan se zayed musafireen barsar e mauqa halaak hogaye thae jabkay Bus se 7 zakhmi bachon ko nikala gaya tha jin mein 4 halak hogay. Marne walon mein 32 khawateen bhi shaamil hain. Shadeed zakhmion ko Karimnagar aur Hyderabad ke Hospitalon ko muntaqil kiya jaraha tha magar yeh jaanbar na ho sake, mahlukeen ki laashon ko postmortem ke liye Jagtial ke sarkari Hospital muntaqil kardiya gaya hai. Yeh haadisa uss waqt paish aaya jab ghaat road ke aakhri mod par driver ney Bus par qaboo khodiya jis ke nateeja mein Bus khayi mein ja giri. Sadak se guzarnay walon aur muqami dehation ney bachao ka kaam kiya. District Collector Jagtial Mr Sharat ne bachao kamon ki nigrani ki. Kaarguzar Chief Minister Mr.K Chandrashekar Rao ney is haadisa par gahray dukh ka izhaar karte huwe muhalekeen ke pasmandgan se izhaar taaziyat kiya. Unhon ney hukkaam ko hidayat di ke zakhmion ko fauri tibbi imdaad baham pohanchai jaye. Mr. Chandrashekar Rao ney Bus haadisa ke mahlukeen ke wirsa ko 5 lakh rupay ex-gratia dainay ka elaan kiya. Wazeer Tansport Mr. Mahender Reddy ney kaha ke Kondaghato ghaat road par yeh phela andohnak haadsa hai.