Hyderabad : Hindustan mein 17th Lok sabha intikhabaat ke sath Telugu riyasat Andhra pradesh mein mein doosri martaba assembly intikhabaat munaqqid hue jis mein YSR congress party ne tareekhi kamyabi haasil karte hue hue Andhra pradesh mein ek naye baab ka izafah kiya hai. YSR congress party ki shandaar kamyabi ke baad Jagan Mohan Reddy Andhra pradesh ke chief minister ban gaye hain. Andhra pradesh mein mein YSR congress party ki tareekhi aur hareef jamaaton ka mukammal safaya karne wali kamyabi ke peechay Indian political action committee ( IPAC) K Prashant Kishore ka kaledi kirdaar hai kyunkay unhi ki sarparasti mein committee ne do saal se ziyada arsay par muheet ek taweel muhim chalaye thi. Jagan Mohan Reddy ko aandhra Pradesh ka chief minister bananay mein Indian political action committee ne 20 May 2017 ko apni intikhabi muhim ka aaghaz kiya tha aur is douran committee ne 709 dinon par mushtamil ek taweel jad-o-jehad shuru ki thi jo kay Andhra pradesh ki siyasat mein taweel tareen siyasi muhim jis mein mein 17 baday Programs, 13 field satah ki propaganda aur 4 online siyasi muhim shaamil hain .
Is taweel lekin shandaar muhim ke pehlay marhalay mein Indian political action committee ne party ke kaarkunon ko mazboot karne ke liye booth ki satah par kaam kiya hai. booth satah par party ke kaarkunon ko mazboot bananay ke liye inhen bazabta training di gayi taakay woh apni jamaat ke siyasi manshoor ko votoron tak achi tarhan pouncha saken. Indian political action committee ne apni siyasi muhim ke liye wazeh mansoobah bandi aur iqdamaat kiye jis ki wajah se YSR congress party ne Andhra pradesh mein intehai shandaar kamyabi haasil ki hai. YSR congress party ko kamyaab bananay ke liye Indian political action committee ne bunyadi satah par apni tavajja markooz kar di thi aur party ke tamam karkun ibtidayi satah se hi party aur awam ke darmiyan ek mazboot rabita qaim karna shuru kardiya tha aur waqt guzarnay ke sath yeh rishta awam aur leader ka mazeed mustahkam hota chala gaya. awam ko YSR congress party ke qareeb laane aur is se rishta mazboot karne ke liye liye do tarhan ke naaray istemaal kiye gaye jis mein pehla naara yeh tha ke Rawali jagan, ka wali jagan, jis ka urdu mein yeh matlab hota hai ke Jagan aana chahiye jis se morad Jagan ko Iqtidaar mein lana hai jabkay is naaray ka dosra hissa Jagan ka wali se morad yeh hai ke Jagan chahiye .
YSR congress party ko Iqtidaar mein laane ke liye Jagan rawali Jagan kawali ka naara diya gaya aur uskay baad is siyasi muhim ka dosra naara jis mein barsar iqtedar TDP ko Iqtidaar se be dakhal karne ke liye istemaal kiya gaya jo ke Bye Bye babu istemaal kiya gaya. ek janib Jagan mohan Reddy ko Iqtidaar par laane ke liye naara lagaya gaya to doosri janib ChandraBabu Naidu Iqtidaar se be dakhal karne ke liye Bye Bye babu ka naara bhi apna kaam kar gaya. Rawali Jagan ka wali jgn, is naaray ko online par kaafi maqboliat mili jis ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke youtube par taqreeban teen crore awam ne usay pasand kiya. Andhra pradesh ki chief minister ki kursi par Jagan mohan Reddy ko Faiz karne mein Indian political action committee ne taqreeban do saal se ziyada ki apni taweel tareen muhim ke douran kaafi marboot aur muassar hikmat-e-amli ikhtiyar ki aur un tamam hikmat amliyon ko anjaam dainay mein Prashant keshwar ka naam kaafi ahem hai . –YTN STAFF