Fareeza Hajj ki adayee ke dauran Aazmeen Hajj muqam Arafat mein waqay Jabal al Rahmah ki ziyarat ka sharf haasil karne ki gahri tamanna rakhtay hain. Manasik Hajj shuru honay se qabal Jabal e Arafat par aazmeen ka jam e ghafeer jama hota hai jahan yadgaari tasaveer banatay aur wahan se tuhayef khareed karte hain. Saudi Arab ki sarkari khabar rasan agency ‘SPA’ ke mutabiq Jabal e Arafat Makkah Muazzama ke pahadon mein se aik pahad hai magar is ki asal pehchan is ke pehlu mein maujood Maidan e Arafat hai. Yeh pahad Makkah aur Taif ko milaane wali sadkon par waqay hai. Jabal e Arafat mein aanay walay Hujjaj karaam Rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ke is aakhri khutba Hajjata ’alvidah’ ki yaad bhi taaza karte hain jo aap ney apne aakhri Hajj ke mauqa par irshad farmaya tha. Jabal e Arafat ki satah hamwar aur kushadah hai taham is ke atraaf mein bhaari bharkam gole pathar bhi maujood hain. Un mein se beshtar patharon ka rang siyah hai. Yeh pahad, mehal wuqoo ke aitbaar se maidan Arafat ke mashriq mein hai. pahar ki lambai 300 aur qutar 640 meter hai. Zameen se is ki bulandi 65 meter hai. Jabal e Arafat ke kayi dosray naam bhi mashhoor hain jin mein Jabal Alal, Jabal e Tauba, Jabal e Dua aur Jabal e Alqarin ziyada mashhoor hain. Saudi Arab mein amar bilmaaroof aur naahi an ilmunkir shoba ki taraf se yahan aanay walay zayireen ki har mumkin rehnumai ka ihtimaam kya jata hai. Mukhtalif zabanon ke mutrajim apni khidmaat anjaam dete hain. Is jagah aanay walon ko bidaat se roknay aur Quran wo Sunnat ki taalimaat ke khilaaf kisi qisam ki mazhabi sargarmi ki ijazat nahi di jati.