Monday, April 29, 2024
HomeIndiaJab tak mein zindah hon Bengal mein CAA nafiz nahi hoga :...

Jab tak mein zindah hon Bengal mein CAA nafiz nahi hoga : Mamata Banerjee

Kalkata: Bengal ki Chief Minister Mamata Banerjee ne aaj ek baar is azm ka aadah karte hue kaha hai ke jab tak wo zindah hain is waqt tak Shehri Tarmeemi Qanoon ko nafiz nahi kiya jayega aur na hi kisi ko is ke bunyadi haqooq se mahroom kiya jayega. Mamata Banerjee mulk bhar mein jari tehreek talba ki himayat karte hue kaha ke ehtijaj karna bunyadi haq hai aur koi bhi is se mahroom nahi karsaktha hai. Mamata ne kaha ke jab hum kisi ko muntakhib kar saktay hain to hamein is ke khilaaf ehtijaj karne ka bhi haq hai.

Khayaal rahay ke shehri tarmeemi qanoon ban’nay ke baad se hi Mamata Banerjee tehreek chala rahi hain aur ab tak Kalkata shehar mein 5 mukhtalif ilaqoun se juloos nikaal chuki hai. Kal Mamata Banerjee ne kaha tha ke jab tak is qanoon ko wapas nahi le liya jata hai is waqt tak unki tehreek jari rahay gi.

Mamata ne kaha ke Bengal mein ek bhi herasti camp nahi hai. Unhoun ne sawal kiya ke aakhir talba ehtijaj kyun nahi kar saktay hain. University intizamia ke zareya markazi hukoomat kalay qanoon ke khilaaf ehtijaj karne walay taalib ilmoon ko khauf zada kar rahi hain. Is ka maqsad sirf aur sirf talba ku khamosh karna hai. Lekin mein kehna chahti hon ke talba ko khauf zada honay ki zaroorat nahi hai mein un ke sath khadi hon. –YTN STAFF