Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaJaan bachanay walay Doctoroun ko awam ki harasani ka saamna

Jaan bachanay walay Doctoroun ko awam ki harasani ka saamna

New Delhi: Hindustan ke mukhtalif shehroun mein Coronavirus ke khilaaf awwal dastay ka kirdaar ada karne walay Doctoroun, Tibbi amlay aur Delivery ka samaan pohanchanay walay amlah ko muqami afraad ki janib se harasani ka saamna hai.

Khabar rasan idaray ki Report ke mutabiq wazeer e azam Narendra Modi ne kaha hai ke tibbi amlay ke sath bud sulooki ek bada masla ban gaya hai. Hindustan ke mukhtalif shehroun mein Coronavirus ke khauf ki wajah se muqami afraad ne na sirf Doctoroun se doori ikhtiyar karli hai balkay un ko karaye ke makanoun se bhi nikaal diya gaya hai.

Maghribi shehar Surat mein Dr Sanjevbni Palekar Coronavirus ke mareezoun ka ilaaj karti hain. Unhoun ne kaha hai ke Duty karne ke baad wapas atay huve is ke Apartment ke makeeno ne un ko rastay mein hi ghair liya aur dhamki di ke agar wo kaam par gayen to un ko is ke nataij bhughatna honge.
Unhoun ne yeh bhi kaha ke yeh wohi log hain jo pehlay khushii ke sath mujh se baat karte they jab bhi un ko koi masla hota to mein un ki madad karti taham ab aisa nahi. Mujhe maloom hai ke logoun mein Coronavirus ke baray mein khauf hai lekin Coronavirus ke baad se sorat e haal ye hai ke jaisay mein achhot hogayi hon.

All India Institute Of Medical Sciences ke doctoroun ne hukoomat se madad ki Appeal karte huve kaha hai ke gharoun ke malikaan aur Housing Society ki janib se tibbi amlay ko gharoun se nikala ja raha hai. Kayi loog samaan sameit sadkoun par khaday hain aur pareshan hain ke kahan jayen.

Mulk mein sirf tibbi amlay ko hi nahi balkay Online Delivery Service companiyoun ke Drivers aur Airport aur jahazoo ke amlay ko bhi harasani ka saamna hai. Kayi Online Delivery companiyon ne apna kaam rok diya hai.

Indigo aur Air India ne amlay ke khilaaf muqami afraad ki janib se na munasib ravayye ki muzammat ki hai. Air India ki ek maizban ne Media se kaha ke America ke safar par jany ki wajah se humsaayoun ne un ko dhamki dete huve kaha ke inhen Apartment se nikaal diya jaye ga kyunkay wo Coronavirus phelanay ka sabab ban sakti hain.
Is raat to mein so na saki. Mein dar rahi thi ke agar mein ghar wapas aayi to koi mere ghar ka darwaaza toad dega aur mujhe wahan se nikaal day ga. Un ke mutabiq ke un ke shohar ne madad ke liye Police se rabita kiya.
Air India ki maizban ne mazeed bataya ke un ki ek saathi ko ghar se nikaal diya gaya tha aur ab wo apne walidain ke ghar muqeem hai. WhatsApp par jaali khabroun ki wajah se logoun ko maloom nahi ke kya ho raha hai isi wajah se unhoun ne na munasib rawayya apnaya huva hai. Indian Commercial Pilot Association ke General Secretary T.Parveen Kirthi ne kaha hai ke jahazoo ke amlay ko un ki Societies ke Guards dakhli darwazay par rokkk letay hain. –YTN STAFF