Sunday, April 20, 2025
HomeSliderJaali Pharmacist ki degree aur bad-unwaniyoun mein mulawis 21 sala Kuwaiti noujawan...

Jaali Pharmacist ki degree aur bad-unwaniyoun mein mulawis 21 sala Kuwaiti noujawan giraftar

kuwait city: Ek intehai sangeen muamlay mein na-maloom 21 sala Kuwaiti nojawan ne na-maloom arab mulk se jaali certificate haasil karne mein kamyaab raha hai aur apni farzi degree ke zareya wo khud ko wo ek maahir Pharmacist zahir kar raha tha.

Roznama al-raye ne apni report mein likha hai ke agar aap sharminda ya khaufzadah nahi hain to isse aap ko koi farq nahi padta hai kyunkay aap apni marzi se wo kaam kar saktay hain jo ghalat hota hai lekin yaqeenan is qisam ki bad-unwani ko muashray se har tarhan se khatam karna hoga.

Roznama ne kaha ke haerat ki baat ye hai ke ye certificate sarkari agencio ke samnay pesh kiya gaya tha aur baghair kisi tasdeeq ke is farzi degree ko manzoori di gayi hai aur ye bhi daryaft karne ki koshish nahi ki gayi ke sirf 21 saal ka shakhs kis tarhan doctorate ka certificate ka haamil hosakta hai.

Roznama ne mazeed likha hai ke chahay woh ek ba-salahiyat hi kyun na ho is Umar mein usay abhi bhi university mein hi hona chahiye tha aur usay apni taleem se farigh honay ki tayari mein masroof hona chahiye tha. doosri baat jo kam haeran kan nahi hai is farzi doctor banne ke 180 amlay ke ek naam ke tehat mulk ke mukhtalif hisson mein mutadid wazaraton ki manzoori ke baad 12 pharmacy ko kholnay ke licence haasil karliye hain.

Is ka inkishaaf jaali Pharmacist ki giraftari ke baad ki jaane wali tehqiqaat ke douran hua. mulzim se dastawizaat zabt karliye gaye hain aur inhen mutaliqa hukkaam ke hawalay kardiya gaya hai.

Zaraye ne inkishaaf kiya hai ke giraftari wizarat dakhla ke taawun se hui hai jis mein inkishaaf hua hai ke mushtaba afraad ki karwaiyan sirf pharmacy tak hi mehdood nahi theen. tehqiqaat ke mutabiq, jaali Dr ne apne len-den ko saaf karne ke liye ohdedaron ko rishwat di. public prosecutions ne unki nazarbandi ka hukum diya hai kyunkay security ohdedar is muamlay ki tafteesh jari rakhay hue hain taakay ye maloom karen ke is ke len-den ki manzoori lene mein kisne is ki madad ki.

Zaraye ne kaha ke mushtaba shakhs dosray auqaat mein dawaein bhi likhta tha aur dosray mamlaat mein bhi mulawis tha. Darin-asna , wizarat sahet ne kaha hai ke woh ja-al sazoun ka taqub karne aur kisi bhi maslay ki pairwi karne mein koi kasar nahi chodeyga jo rahaishion aur Kuwait ki sahet ko mutasir karti hai.

Zaraye ne zor day kar kaha ke wizarat sahet ke shobay ko mashkook afraad se bachanay ke liye qanoon ki khilaaf warzi karne walon ki talaash jari rakhaygi. doosri janib wazeer-e-sahet Sheikh ne wizarti faisla jari kiya hai jo Aala ohdoun par qaabiz afraad ki zaroriat ko tey karte hain jaisay kisi bhi tibbi shobay mein kisi unit ka sarbarah. wazeer Mosoof ne kaha ke taqarruri kanandah ko doctorate ki degree ya iske masawi hona chahiye. –YTN STAFF