Thursday, March 28, 2024
HomeJurmJaali Helmet bananay wala Racket be-naqaab

Jaali Helmet bananay wala Racket be-naqaab

Hyderabad: 2 phaiyon ki gadiyon ke sawaar afraad ke tahaffuz ke liye traffic police inhen Helmet ke istemaal par sakhti se pabandi ke liye har tareeqa ikhtiyar karti hai doosri janib awam police ki sakhtioyun se bachne ke liye saste aur ghair mahfooz helmet istemal karte hai jiska faida uthakr ja-al saaz tajir sastay aur ghair mayaari Helmet tayyar karne lagey hain aur ab aisay jaali Helmet tayyar karne walay afraad ka ek groh be naqab hua hai.

cyberabad traffic police ki tashkeel kardah khusoosi team ne jaali Helmet tayyar karne walay Racket ka parda faash karte hue do afrad ku griaftar karliya hai. Girftar shuda afraad ki shanakht Dhiraj kumar aur aneel kumar ke naam se hui hai jinka talluq uttar pradesh ke ghaziabad se hai. Is se tehqiqaat ke douran police team ne ghaziabad mein aisi hi ek manufacturing company ki nishandahi ki aur is Racket ka parda chaak kiya. Yeh mulk mein apni noiyat ka pehli karwai hai jahan aisay ghair mayaari Helmet tayyar karne walon ko girftar kya gaya tha.

Cyberabad traffic police ke bayan mein kaha gaya hai yeh pata chala hai ke is terhan ke ziyada tar Helmet Delhi se atay hain aur ISI ke jaali nishanaat lagaye jatay hain. Yeh Helmet sastay plastic, fibre aur thermacole se banay hain. Police ne awam ko mashwara diya ke woh aisay Helmet istemaal karne se guraiz karen kyunkay yeh ghair mayaari aur ghair mehfooz hotay hain.

yaad rahe ke hyderabad traffic police ne 2020 ke douran Helmet ke baghair gaadi chalanay walay 3911108 motorcycle sawaron ke khilaaf challanat kiye hain jabkay 2019 mein yeh tadaad 3519064 thi. hyderabad mein traffic qawaid ki khilaaf warzi mein sab se ziyada Helmet ka adam istemaal darj hua hai jabkay sab se kam khilaaf warzi kamsin bachon ki driving hai jis ke tehat 1382 challanat wusool kiye gaye. Mehakma police ki janib se jari kardah adaad wo shumaar ke mutabiq sadak hadsaat mein halaak honay walay 50% se zayed afraad haadsa ke waqt Helmet ke baghair driving karte hue paye gaye hain. Police ke mutabiq nashay mein gaadi chalanay ke waqeat mein kami hui hai. Ek saal ke douran traffic khilaaf wazion ke silsila mein 5291896 challanat kiye gaye hain.