Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderItwaar ko Umrah ke dosray marhalay ka aaghaz, Tamam tayyariyan mukammal

Itwaar ko Umrah ke dosray marhalay ka aaghaz, Tamam tayyariyan mukammal

Mecca Mukaramah: Umrah ke dosray marhalay ke liye tamam tar tayyariyan mukammal karli gayi hain. Itwaar se mehdood Umrah programme ki bahaali ka dosra marhala shuru hoga. Muqaddas Masajid ki intizamia ne itwaar yakam Rabiey ul-Awwal, 18 October se namazion ke istaqbaal ke tamam intizamaa mukammal karliye hain. Masjid Ul Haram ki intizamia ke tarjuman Haani Hider ke bamujab intizamaa mein sab se ziyada tawajah virus se bachao? ki tadabeer par di gayi hai is ke ilawa itwaar se hifazati tadabeer ziyada sakht hon gi.

Haani Hider ne un tayario ke zimn mein izhaar khayaal karte hue kaha hai ke Masjid Al Haram aur is se mutaliqa maqamat ki safai aur sanitizing ke kamon mein izafah kardiya gaya hai taakay zaireen ko har haal mein waba se mehfooz rakha jasakay. Masjid Al Haram mein namaz ki adaigi ke khwahish mand hazraat ka intikhab App ke zariye kiya ja raha hai. App ke zareya muntakhib honay walay khush naseeb namazion ke liye maqamat mutayyan kardiye gaye hain. Muqaddas Masjid mein samaji faaslay ko yakeeni bananay ke liye alamtain chaspan kar di gayi hain. Har zair ke darmiyan 1.5 meter ka faasla rakha ja raha hai.

Haani Hider ne takeed ki hai ke Masjid Al Haram mein daakhil honay walay har shakhs ko mask ki pabandi karni hogi aur is ke ilawa har kisi ko baar baar haath dhoney ka ihtimaam karne ke ilawa ijazat naamon ke mutabiq auqaat ki pabandi bhi karni hogi.

Hajj-o-Umrah ke wazeer Muhammad Saleh bin Taher Benten  ne Umrah wuzarat ke dosray marhalay ke intizamaa ka muaina kiya. Umrah ke is dosray marhalay mein Masjid Al Haram mein namaz-o-Umrah, Roza Ather par haazri aur namaz ki ijazat hogi.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke 4 naye ijazat naamon ka ijra App ke zareya shuru kiya gaya hai. Un ijazat naamon mein Masjid Al Haram mein namaz, Roza sharifa mein khawateen ke liye namaz, Roza Sharifa mein mardon ke liye namaz aur roza rasool mein ebadaat shaamil hain.