Monday, April 21, 2025
HomeSliderItaly ne Lebanon ki himayat jari rakhnay ka azm zahir kiya

Italy ne Lebanon ki himayat jari rakhnay ka azm zahir kiya

Room: Italy ke Wazeer-e-Azam nay Beirut mein guzashta mah ke tabah kun dhamakay ke baad Lebanon ke liye apne mulk ki musalsal himayat ka wada kiya. Giuseppe Conte nay Lebanon ke dar-ul-hukoomat ke doray ke douran yeh ehad kiya, Jahan unhoun nay dhamakay ke baad Lebanon ke sadar Michel Aoun se imdadi farahmi mein hum ahangi ke baarey mein baat cheet ki. Beirut dhamaka jis mein 180 se ziyada afraad halaak aur kam az kam 6 hazaar afraad zakhmi hue.

Aoun ney is mulaqaat ke baad kaha Italy Lebanon ki masharti aur muashi taraqqi mein madad faraham kere ga. Conte ney kaha ke unhoun ney Aoun ko bataya ke Lebanon ke liye yeh tahhaamul se guzaarne ka waqt hai. Aisa karne ke liye hamein shehrion ke aetmaad aur jamhoori idaron par un ke aetmaad ko dobarah bahaal karne ke liye bhi kaam karna hoga.

Conte ny mazeed kaha Italy Lebnani khud mukhtaari ke liye gehra ehtram rakhta hai aur is ki himayat mein rahay ga, Umeed hai ke taamer no aur jald az jald islahat shuru karne ke liye ek hukoomat tashkeel di ja sakti hai. Woh francesi sadar Emmanuel Macron ke Lebanon ke doray ke ek hafta baad hi Beirut puhanche hain taakay ek nai hukoomat tashkeel dainay aur bohat zurori islahat ko nafiz karne ke bain ul aqwami safarti iqdaam ke ek hissay ke tor par apna rule ada kar saken.

Conte ney parliament ke Speaker Nabih Berri, Nigaran Wazeer-e-Azam  Hassan Diab aur Wazeer-e-Azam naam zad Mustafa Adib se bhi mulaqatain kee. Beirut mein Itali sifarat khaney mein Conte ney ghair sarkari tanzeemon aur Civil Society ke groups ke numaindon se baat ki jo dhamakay ke baad wazeh karwaiyon mein madad faraham kar rahay hain.

Unhoun ney apni hukoomat aur mulk ki mukhlisana taaziyat ka izhaar karte hue kaha un ka Beirut ka dora Lebnani awam se Italy ki qurbat ka saboot hai. Conte ney mazeed kaha taluqaat ki ek bohat qadeem rivayet hai aur Italy aur Lebanon ke mabain intahi gehray taluqaat hain. Hungami sorat-e-haal ke is lamhay mein is rishta ko mazeed mustahkam kiya gaya hai.

Unhoun nay kaha ke Lebanon Italy ke assaar qadima ke virsa se le kar ganday pani ki safai ke bunyadi dhanchay tak ke shobo mein taraqiyati taawun ke ahem faida uthany walay mumulik mein se ek hai. Unhoun nay mazeed kaha ke Lebanon ko shami muhajreen sameit abadi mein kamzor garohoon ke liye Itali imdaad bhi haasil hai.

Italy hungami sorat-e-haal ka jawab dainay walay pehlay mumulik mein shaamil tha aur Lebanon ke liye hamari madad nahi ruke gi. Conte ne Lebnani hukkaam se kaha ab waqt aagaya hai ke Lebanon ke liye naya baab likhain. Italy is mulk ke istehkaam aur masharti muashi numoo ke liye bhar poor taawun kere ga, Jo mustaqbil ke aman-o-khushhali ka haqdaar hai, Lekin is ka bhi farz hai aur is par zimma daari ayed hoti hai ke woh is maqsad ko jald se jald haasil karne ke liye raah hamwar kere.