Tuesday, April 22, 2025
HomeSliderItaly mein Murgh ki bangh par maalik ko jurmana

Italy mein Murgh ki bangh par maalik ko jurmana

Madrid: Duniya bhar mein aksar afraad subah saweray murgh ki bangh dainay ki fitrat se bakhoobi aagah hon ge aur amuman kuch loog murgon ki bangh ke sath hi apni subah ka aaghaz karte hain taham har kisi ko murgon ki bangh achi nahi lagti aur kuch loog murgon ki is aadat ko apni neend mein khalal mantay hain aur is se nalan nazar atay hain.

Aisa hi ek waqea Italy ke shehar Castiraga Vidardo mein pesh aaya jahan ek 83 sala Angelo Boletti nami buzurag shakhs ko Alas subh murgh ki musalsal bangon ki wajah se 166 Earu jurmana ka saamna hai. Itali shakhs nay kaha ke Carlino nami murgha un ke baagh mein rehta tha jo un ki malkiat tha aur is ilaqay mein guzashta 10 baras se tha, Angelo Boletti nay aakhir-kaar apne padosion ki shikayaat ke baad murgh ko apne ek dost ke hawalay kar diya tha.

Baad azan unhoun nay Carlino ko earzi tor par apne dost se is waqt wapas liya tha jab un ka dost 20 dinon ki chuttiyon par gaya tha lekin padosion ki janib se murgh ki wapsi se mutaliq shikayat ke baad police nay Angelo Boletti ke ghar par chhapa mara.

Darasal murgh ki aawaz subah sadhay 4 bajey ke qareeb suni gayi thi aur murgh ke maalik par muqami qanoon ki bunyaad par taqreeban 200 dollar ka jurmana ayed kiya gaya jis ke mutabiq paaltoo janwaron ko padosion ke makanaat se kam az kam 32.8 feet daur hona chahiye.

Angelo Boletti nay kaha ke wo is qanoon se la ilm thay aur wo ujrmane ke khilaaf Appeal dair karne ka iradah rakhtay hain. Wazeh rahay ke aisa pehli martaba nahi huwa ke murgh ki bangon se tang aakar logon nay shikayat darj karwai ho, Is se qabal France mein ek joday nay Alas subah bangh dainay walay murgh ke khilaaf adalat mein muqadma dair kiya tha lekin adalat nay chand samaaton aur wukla ke darmain zabardast behas ke baad insanon ke bajaye murgh ke haq mein faisla day diya tha.