Hyderabad: Coronavirus COVID-19 wabai amraaz ke zareya waqoo pazeer honay walay Lockdown se aamdani mein kami aur maali akhrajaat mein izafah ki wajah se IT aur Non IT Company mulazmeen ko subukdosh honay par majboor kar rahi hain. Kaha ja raha hai ke jin Companies ke paas mustaqbil ka mansoobay, Dakhli zaraye aur Market se khud ko hum aahang karne ki salahiyaten mojood nahi hain wo apne mulazmeen ko bar tarf karne ki tayyariyan shuru karchuki hain. Ye bohraan Telangana sameit mutadid riyasat mein mojood IT aur Non IT Forms ka hai jahan mulazmeen ko barkhast karne ya phir un ki tankhwahoun mein takhfeef ki jarahi hai.
Haal hi mein Hyderabad mein Smart Mobility Solutions Company mein kaam karne walay ek mulazim Rohit ( naam badal gaya ) ko un ke daftar se Phone aaya aur isse apne kaghzat daakhil karne ki hidaayat di. Rohit ko bataya gaya ke 30 March tak agar wo un ki darkhwast par amal karte hain to mukammal aur hatmi tasfia hojaye ga. Rohit ne mutalbe ko maan-ne ko tarjeeh di kyunkay is ke paas dosra koi aur rasta nahi tha kyunkay wo nahi chahta tha ke apne tajarbay ke khat par mulazimat se bar tarf likha jaye. Aisa hi haal un logoun ka bhi hai jo mukhtalif shobo mein kaam kar rahay hain, Jaisay khanay ki tarseel, Hotel aur naqal o hamal. Ek aur shakhs, Online Food Ordering Platform mein kaam karne walay ne bhi kaha ke Team ke kuch arkaan ko subukdosh honay ki hidaayat di gayi hai.
Is Lockdown ke asraat ne shehar mein khangi shobo mein mulazimat karne waloun ko sakht nuqsaan pahunchana shuru kardiya hai. Alawa azeen Selectsys Private Ltd Company ke kuch mulazmeen ne Telangana hukoomat ko Twit kiya, IT wazeer ke T Rama Rao ko mulazimat se barkhast kiye jaany ki apni daastaa’n sunai. Mulazmeen ne kaha ke Selectsys India Private Ltd ne abhi apne tamam mulazimeen ko mulazimat se bar tarf kardiya. Unhoun ne March ki thankhowa ka 30 feesad hissa kaat liya hai aur ab mujhe HR Team ka Phone aaya jis mein kaha gaya ke mujhe ghair muayana muddat ke liye bar tarf kardiya gaya hai. Sirf Software shoba hi nahi Lockdown Mechanical shoba ko mutasir kar raha hai. Jeswanan Div ne kaha Mechanical Field mein bhi mulazmeen ko bar tarf karna shuru huva hai. Hamein E-mail mousool huva hai jis mein bataya gaya hai ke Plants nahi chal rahay hain lehaza bar tarf kiye jarahay hain. Ye ziyada tar earzi bartarfi honay ka imkaan hai. –YTN STAFF