Hyderabad: Chandrayaan 2 ki aakhri lamhaat mein nakami ke bawajood ISRO ke science danoun ki nah sirf har goshay se himmat bandhi gayi balkay samaaj ke har shobeh se talluq rakhnay wali Maroof hastiyon ke sath Hindustan ke aam shehrion ney bhi apne Whatsapp aur Facebook ke status par unki sitaish mein paighamaat update karte hue unki adhuri khushi mein khud ko shaamil kiya hai jabkay Wazeer-e-Azam Narednra Modi jo koi mauqa haath se jane nahi dete unhon is waqt bhi Drame baazi karte hue media ke samnay ISRO ke chief ko gale lagatay hue unke aansuon pochne ki koshish ki lekin ab is science danon ke peeth mein chura ghomp diya hai.
ISRO ki Chandrayaan 2 ki kamyabi par hona to yeh chahiye tha ki unki tankhwahoun aur mara-aat mein mazeed izafah hota Modi hukoomat ney ab unki aamdaniyon mein katoti kardi hai.
Chandrayaan 2 ke Lander vikram se rabita qaim karne ki koshisho mein masroof indian space reserch center ( ISRO ) ke science danon sameit hazaron mulazmeen ko bada jhatka laga hai. Chandrayaan 2 mission mein aayi khaami se dabao ke bawajood phir se mission ko anjaam tak pohanchanay mein jee jaan se masroof ISRO ke science danon aur engineers sameit hazaron senior mulazmeen ki increment mein katoti hogayi hai.
tafseelaat ke mutabiq hukoomat-e-hind ke deputy secretary M.Ramdas ke dastakhat se jari ek daftari aalamia mein kaha gaya hai ke wizarat maalyaat ki hidaayat par khalayi mehakma ke tehat anay walay S D, S E, S F aur S G grade ke science danon / engineers ko panchwin tankhowa commission ke mutabiq milnay walay do izafi increments ko band kar diya gaya hai.
yeh hukum 1st July 2019 se nafiz hoga. yeh aalamia June 2019 mein jari kiya gaya tha.
Hukoomat ke is iqdaam par ISRO ke mulazmeen mein kaafi mayoosi hai. The Quint ke mutabiq isko dekhte hue space engineers asosi ation ( SAE ) ke sarbarah A.Mani raman ney ISRO chairman ke Sivan ko 8 July ko ek maktoob likh kar guzarish ki thi ke woh hukoomat se apna faisla wapas lainay ke liye guzarish karen. Ek senior scientis ke mutabiq hukoomat ke taaza qadam se ISRO mulazmeen ko har mahinay ausatan 10 hazaar rupay kam mil rahay hain.
Apne khat mein Mani raman ney kaha hai ke ISRO science danon / engineers ko milnay walay un increments ko hataane ke peechay hukoomat ney chutti tankhowa commission mein ki gayi tarmeemi adaigi ka hawala diya hai, lekin khud tankhowa commission ney 1996 ke un increments ko jari rakhnay ki sifarish ki thi.
Mani raman ney kaha ke 1996 ke un increments ko jari rakhnay ki sifarish ki thi. Mani raman ney kaha ke 1996 ke increments supreme court ke hukum par nafiz kiye gay they, is liye karkardagi ki bunyaad par haal mein nafiz increment ka mawazna 1996 ke increments se nahi kiya ja sakta.
Is douran Chandrayaan 2 ki kamyabi par ISRO par fakhr kar rahay social media sarfeen ko bhi is khabar se jhatka laga hai. is silsilay mein social media par awam ke zareya kayi tarhan ke musalsal radd-e-amal aarahay hain. kayi logon ney usay mulk ke asal heroes yani ISRO science danon ke sath hukoomat ke zareya khatarnaak mazaq bataya hai. kayi logon ney usay dohra rawayya qarar diya hai. –YTN STAFF