Friday, May 17, 2024
HomeSliderIsraeli Wazeer e Azam ke hathon Trump Naam ki bastii ka sang...

Israeli Wazeer e Azam ke hathon Trump Naam ki bastii ka sang binad

Jerusalem: Israel ney mutanazia golan padari ilaqay mein Amrici saddar Donlad Trump ke naam par aik nai bastii ka sang buniyat rakha hai. Israel ke Wazeer e Azam Benjamin Netanyahu nay aik taqreeb mein Trump Heights naam se aik nai bastii bananay ke qarardad ke sath is ka sang buniyaad rakha. Netanyahu ney kaha ke golan pahari ilaqay par Israel ke ghalba ke aitraaf ke Trump ke faislay ke ehtram mein Trump Heights Nami nai bastii ki taamer ki jaye ga.

Netanyahu ney Amrici saddar ko Israel ka azeem dost qarar dete huwe kaha, yeh din tareekhi hai. Is mauqa par Amrici safeer David bhi mojood thay. David nay Trump Heights ki taamer ki tareef karte huwe usay durust qadam thehraya hai. Nayee bastii ki taamer ka kaam abhi shuru nahi huwa hai lekin Israel. America ke qaumi parcham ke sath Trump ke naam wali aik dewaar ka iftitah kiya gaya. Qabil zikar hai ke 1967 mein shaam ke sath jung ke douran Israel nay golan pahari ilaqay ko apne qabzay mein le liya tha. Amrici saddar Donald Trump ney March mein golan pahari ilaqay par Israel ke ghalba ke aitraaf ka elaan kiya tha.

Israel ney April mein elaan kiya tha ke golan pahari ilaqay mein Trump ke naam par aik nai bastii ki taamer ki jaye gi. Golan pahari ilaqay shaam ke dar-al-hakoomat Dimashq se takriban 60 kilometer daur hai aur yeh ilaqay taqreeban aik hazaar murabba kilometer mein phela huwa hai.