Tuesday, July 8, 2025
HomeSliderIsraeli Wazeer e Azam aur Misri Sadar ki khufia mulaqaat

Israeli Wazeer e Azam aur Misri Sadar ki khufia mulaqaat

Gaza patti par Palestenian Authority ki wapsi par Sisi ka zor. Kahin Gaza patti se Hamas ko be-dakhal karne ki sazishain to tayyar nahi ki jarahi hain?

Gaza aur Israel ke darmiyan taweel jung bandi ke liye Israeli Wazeer e Azam Benjamin Netanyahu aur Misri Sadar Alsisi ne khufia mulaqaat ki hai. Israeli media kay mutabiq Misar mein 22nd  May ko hui khufia mulaqaat mein Hamas-Israel jung bandi ke maamla par tabadlah khayaal kiya gaya hai. Israeli aur Palestenian Authorities ki janib se iss report ke hawalay se tardeed ya tasdeeq ke liye koi bayan samnay nahi aaya hai. Misar aur Aqwam e Mutahidda Israel aur Hamas ke darmiyan taweel jung bandi ke liye saalisi ki koshishen kar rahay hain. Israeli akhbarat ke mutabiq Israeli Wazeer e Azam Netanyahu ne Sadar Misar Abdel Fattah el-Sisi se mulaqaat ke liye mah May mein Misar ka khufia dora kya tha. It-tila-aat mein namaloom Amrici ohdedaron ke hawala se kaha gaya ke is dora ka asal maqsad Gaza patti mein intizamaa aur wahan Palestinian Authority ki wapsi aur Israel aur Gaza ke hukumraan ke darmiyan jung bandi, Gaza patti par israeli aur Misri naka bandi mein narmi par tavajja markooz karna tha. Bataya jata hai ke is mulaqaat mein Hamas ke zair tahweel Israeli faujion aur do fojion ki laashon ki wapsi ko yakeeni bananay par bhi tabadlae khayaal kiya gaya. Alawaazeen Sadar America ke mansoobah aman par bhi ghhor o khoz kya gaya, is mansoobah aman ko abhi aam nahi kya gaya hai. Bataya jata hai ke mulaqaat mein Abdel Fattah el-Sisi ne is baat par zor diya ke Gaza patti par Palestinian Authority ki wapsi ko yakeeni banaya jaye. Un ka yeh kehna tha ke chahay yeh batadreej kya jaye aur Hamas ki janib se paishgi shart ke taur par hathyaar daalnay se kyun nah inkaar kardiya jaye. Sadar Misar ne kaha ke Israel, Arab mumlikaton aur bain ul aqwami bradri ko chahiye ke woh Palestinian Authority Mahmoud Abbas par dabao daaley ke woh Gaza ka nazam o nasq sambhaal le. Report ke mutabiq Israeli Wazeer e Azam ke hamrah chand musheeron aur security ahelkaron ki mukhtasir si team thi. Woh Cair mein sirf chand ghantay hi tawaquf kiye aur Jerusalem wapas laotne se qabal Sesi ke sath iftaar kya tha. Is ke baad se Hamas aur Israeli ke darmiyan tassadum ke kayi waqeat paish aeye. Israel ne Hamas ki janib se hamlon ka ilzaam aayed karte hue Gaza patti par kayi baar fazai hamlay bhi kiye thay jin mein kayi Palestenian bashmole bachay maaray gaye. Netanyahu ne guzashta itwaar ko bhi Gaza patti mein Hamas ke khilaaf apni karwaiya anjaam dainay ka intibah diya tha. Sisi aur Netanyahu ki khufia mulaqaat ke baaray mein Muslim duniya mein yeh ta-assur paaya jata hai ke Gaza patti se Hamas ko be dakhal karne ke liye Israel aur Misar aik dosray se taawun kar rahay hain aur unhen kayi Arab Mumalik ki bhi darparda taayeed o himayat haasil hai, Taham aam Musalmanoon mein yeh ta-assur paaya jata hai ke Hamas ke khilaaf Palestenian Authority ki taayeed karna darasal Israel ki taayeed karne ke mumasil hai. Aisa lagta hai ke Misar aur chand Arab Mumalik ghair mehsoos tareeqa se Gaza patti se Hamas ko be dakhal karne ke aik khufia mansoobah par amal pera hain.