Monday, April 21, 2025
HomeSliderIsraeli fouji ke ghotney ke neechay Palesteeni, Dil dehlane wali daastaa’n

Israeli fouji ke ghotney ke neechay Palesteeni, Dil dehlane wali daastaa’n

Yaroshallam: Israeli fojion ki janib se mazloom Palestine par honay walay muzalim saari duniya par ayaan hain lekin is waqt ek aisi tasweer samnay aayi hai jis ny insaaniyat ka dil dehla deya hai aur America mein siyah faam shakhs ki zalim goray police ohdedar ke hathon mout ke dard naak waqea ko taaza kardiya hai. Israeli fouji ki ek tasweer ny ab ek nai behas chhar di kyunkay Israeli fouji ek Palesteeni karkun ko zameen par gira kar is ki gardan ghotney se daba diya hai aur is tasweer ke aam hotay hain Palesteeni ilaaqon aur is se baher ki duniya mein gham o gussa phail gaya hai.

Is Palesteeni shaks ka naam Khairi Hannoun hai, Is shakhs nay 60 ki dahai ke aakhir mein maghribi kinare ke shumal mein Tulkarem ke qareeb ek hamsaaya Israeli abadkhairi badhaane ke iqdaam ke khilaaf muzahiron mein hissa liya. Haliya hafton mein mukhtalif muzahiron par AFP ki janib se li gayi tasaveer mein is tasweer nay aalmi tavajja apni janib mabzol karwali hai.

Hannoun aur Tulkarem ke mabain gaon Shufa nami sadak par muzahiray mein bhi shaamil tha. Woh darjanon deegar muzahireen ke sath Palesteeni parcham lehratey hue dekha gaya tha aur mutadid sahafion ny usay dekha tha. Video Footage mein Hannoun ek Israeli fouji se behas karta deekhaee day raha hai jis ke baad Israeli fouji ny usay zameen par gira diya aur apne ghotney ko is ki gardan par rakh diya. Waqea ki tarmeem shuda footage social media aur Palesteeni Television channels par gardish karti rahi hai. Is waqea ny America ke is waqea ki yaad taaza kar di jis mein siyah faam shakhs ko gore police ohdedar ne mout ki neend suladi thi woh bhi gardan par paiir rakh kar dabanay se margaya tha. 

#palestinianlivesmatter Hashtag ke sath kayi sarfeen ney is video aur tasaveer ko post kiya hai. Sarfeen ney is tasweer ka mawazna George Floyed ke sath kiya, Jo police ki tehweel mein maaray jaaney walay ek ghair musallah africi Americi bashindah tha, Jo police ki isi andaza mein zayad-ti ka shikaar huwa tha Palestine Liberation Organization ke secretary general ney Twitter par jarhiyat ki muzammat karne wali tasaveer ke baarey mein likha aur usay siyah faam afraad ke khilaaf honay walay zulm o zayad-ti se tabeer kiya hai.