Thiruvanthapuram : BJP aur uski Haleef jamaaton ki janib se pehlay hi Hindustan mein baba-e-qoum Mahatma Gandhi ke khilaaf nafrat aur zeher ugalne ke waqeat se hindustani barham they to ab Modi hukoomat mein is nay bain ul aqwami dost Israel ki ek company nay sharaab ke bottles par Gandhi ji ki tasweer istemaal karte hue hindustaniyoun ke jazbaat ko majrooh kiya hai.
Kerala ke Mahatma Gandhi memorial foundation nay sharaab ki bottles par babaye qoum Mahatma Gandhi ki tasweer chaapay jaane ke silsila mein Israel ke Wazeer-e-Azam Benjami Nethanyu aur Wazeer-e-Azam Narendra Modi se shikayat karkay Israeli company ke khilaaf munasib karwai ki appeal ki hai. Kotayam ke paala waqay foundation ke sadar nay dono wazraye Azam ko maktoob likh kar shikayat ki ke Israel ke Taafeen industrial zone mein maka bewery company nay apni sharaab ki bottles aur can par babaye qoum ki tasweer chipkayi ki hain .
foundation ke sadar nay usay sharaab bananay wali company ki janib se ghair munasib tarz amal qarar dete hue kaha ke sharaab ki bottles par chispan ki gayi tasaveer ko amit Shimoni naam ke shakhs naay design kiya hai. jos nay kaha, un tasaveer ke sath gandhi ka mazaq udaya gaya hai. amit ki Website hipstoryart.com par Gandhi ji ki tasweer ko long glass, T-shirt aur overcoat par dikhayi gayi hai.
Babaye qoum ki tasaveer ko sharaab ki bottles aur Websites se hataane ke liye fori tor par iqdamaat karne ka mutalba karte hue jos nay kaha ke babaye qoum ke tor par jaane jaany walay bapu, Adam tashadud ki duniya ke sab se maqbool safer hai. doono mumalik ke wazraye azam modi aur Benjamin ko likhay maktoob mein, unhon nay zor diya Brewery company ko Gandhi ki tasweer wali sharaab ki botelain aur can ko jald se jald wapas lainay ki hadaayat di jaye .
Gandhi ji, jinhon nay sharaab ki khapat aur par chaar ke khilaaf sakht muaqqaf apnaya tha inhoun ney ek mauqa par kaha tha ke Iqtidaar milnay ke baad woh ek hi baar mein mulk mein sharaab bananay wali tamam companiyon aur is ki farokht ko band kar denge lekin aaj sharaab ki bottles par unki tasweer istemaal karte hue crores hindustaniyoun ke jazbaat majrooh kiye gaye hain. –YTN STAFF