Sunday, April 20, 2025
HomeSliderIsrael se Gas daraamad ke khilaaf Urdan ki parliament mein ittafaq

Israel se Gas daraamad ke khilaaf Urdan ki parliament mein ittafaq

Amman: Urdan mein arkaan parliament ki aksariyat ne Israel se Gas ki daraamad par pabandi ke liye musevida qanoon ke haq mein vote diya hai. Yaad rahay ke 3 haftay qabal Urdan ne te shuda muahiday ke bamujab Israel se Gas ki daramad shuru ki thi. Israel se 10 Arab Dollar maliyat ki Gas daraamad ke liye pandrah baras ka moahida hai. Tafseelaat ke mutabiq Urdani parliament mein qanooni committee ke chairman ne ijlaas mein mujawaza musevida padh kar sunaya. Parliament ke beshtar arkaan masode ki tayidmin khaday hogaye. Ijlaas ki karwai barah e raast TV par dikhayi ja rahi thi.

Speaker ne wazeer e azam Omar Razzaz ki mojoodgi mein kaha parliament ke beshtar arkaan qanoon ke masode ko hukoomat ke hawalay karne ke haq mein hain aur wo chahtay hain ke usay hungami bunyadoun par hatmi shakal dekar nafiz kiya jaye. Urdani parliament ki Voting ke bamujab hukoomat ko qanoon ka hatmi musevida hatmi voting ke liye parliament bhejna hoga. Qanoon ke masode mein kaha gaya ke hukoomat is ki wazareten, Qaumi idaray aur companian Israel se Gas daraamad nahi karsaktin. Hukoomat se kaha gaya ke wo musevida parliament ko hatmi shakal mein pesh kere. –YTN STAFF