Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsIsrael Mein Parliment Tahleel Aur Intikhabaat Ka Elaan

Israel Mein Parliment Tahleel Aur Intikhabaat Ka Elaan

Jerusalem :  Israel mein siyasi manzar nama tabdeel ho raha hai aur qabal az waqt intikhabaat mein kamyabi ke baad wazeer-e-azam Netanyahu ki janib se mushtarqa hukoomat qaim karne mein nakami ke baad parliment ney  khud ko tahleel karne aur rawan baras mein dosray intikhab ke ineqad ki manzoori daydi, ek report ke mutabiq yeh dramayi raye dahi parlimani intikhabaat ke sirf do mah se kam arsay mein ki gayi jis ke baais Israel ke taweel almudati rehnuma Netanyahu ka mustaqbil khatray mein padhgaya hai. Netanyahu guzashta ek dahe se Israel par hukoomat kar rahay hain aur 9 April ko hue qabal az waqt intikhabaat mein lagataar chowthi miyad ke liye kamyaab hue they. taham itihadiyon ke sath ikhtilafat aur Netanyahu ko corruption ilzamaat mein bachanay ke liye tajweez kardah bill ki wajah se woh aksriyati ittehaad bananay mein nakaam hogaye .

Parliment ki tahleel se mutaliq bill Netanyahu ki jamaat Likud party nay paish kiya   jis ke baad rawan baras mein Israel mein doosri martaba intikhabaat munaqid karwaye jayenge. Avigdor Lieberman jinhon nay hukoomat mein shaamil honay ki Netanyahu ki peshkash mustarad kardi thi unhon ney  kaha ke mein ney  ghair zarori intikhabaat se guraiz karne ki har koshish ki. vote ke baad beeni Gontez ney  Netanyahu par mulk ke siyasi amal ko apne tareeqay par chalne ki ijazat ke bajaye apne bachao ke intikhab ka ilzaam aed kiya   .

Unhon ney  kaha ke Netanyahu ney  ek nai muhim ke liye 3 mah aur naye intikhabaat par Crores dollars zaya karne ka faisla kiya hai. Israeli qanoon ke mutabiq mulk mein naye intikhabi muhim kam az kam 3 mah tak jari rahaygi aur intikhabaat ke liye ibtidayi tor par 17 September ki tareekh tey ki gayi hai. doosri janib Israel ke attorny general ney  Netanyahu par aed 3 alehda bad unwani ke muqadmaat fard jaim aed karne ki tajweez di hai, un muqadmaat ki samaat october mein hogi. agar Netanyahu doosri martaba honay wala intikhabaat mein kamyaab ho jatay hain to bhi unke hukoomat bananay ke imkanaat kam aur mumkina fard jurm aed honay se qabal istashna moahida par siyasi taawun par lock down mutawaqqa hai .

Parliment tahleel karne ke vote ke baad Netanyahu ney  daawa kiya   ke Avigdor Lieberman ka samjhote ka koi iradah nahi tha aur unhon ney  ghair haqeeqi mutalbe kiye. Netanyahu ney  kaha ke woh mulk ko saal ke nisf arsay ke liye intikhabaat ki janib dahkil rahay hain. 9 April ko hue qabal az waqt intikhabaat mein Netanyahu ki jamaat Likud aur Benny Gantz ki blue and white party ney  fee kas 35 nishiston par kamyabi haasil ki thi. Likud headquarters mein hamion se khitaab mein Netanyahu ney  kaha tha ke yeh shandaar fatah ki raat hai. Netanyahu 2009 se Iqtidaar mein hain aur 1990 mein pehli muddat sameit majmoi tor par 13 barson se Israel par hukoomat kar rahay hain. taham un par lagnay walay corruption ke mukhtalif ilzamaat unke dobarah muntakhib honay ki raah mein haail honay ke khadshaat zahir kiye jarahay they halaanke Netanyahu un ilzamaat ki tardeed karte rahay hain. Netanyahu par ilzamaat hain ke unhon ney  telecom ke muahiday may corruption kar ke ek fareeq ko crores doller ka faida pohanchaya, un par ghair mulkion se 3 laakh dollar se zayed ke mehngay tohfay lainay, media par asar andaaz honay aur usay apne lehaaz se istemaal karne aur Germany se 2 arab dollar ki behri aabdoz ki kharidari mein mafadaat ke takrao ka ilzaam hai .

Sabiq fouji Benny Gantz ney  raye dahi khatam honay ke baad ibtidayi nataij ke mutabiq kamyabi ka elaan kiya   tha jis ke mutabiq unki jamaat Likud party se ziyada nishistain haasil ki theen. apna pehla intikhab ladnay ke baad Benny Gantz  ney  kaha tha ke hum fatehin hain, hum qoum ki khidmat ke liye Benjamin Netanyahu ka shukriya ada karna chahtay hain. wazeh rahay ke Israel mein aam intikhabaat 5 November 2019 ko munaqqid honay they taham Israeli wazeer-e-azam par bad unwani ke ilzamaat aur Rasikh alaqidah yahudion se mutaliq qaumi khidmaat ke bill par hukoomati arakeen mein ikhtilafat ke baais intikhabaat qabal az waqt karwane ka faisla kiya gaya tha . –YTN STAFF