Sunday, May 5, 2024
HomeSliderIsrael ki turkey ke liye parwazein bahaal

Israel ki turkey ke liye parwazein bahaal

Istanbul: Turkey ke sadar Recep Tayyip Erdoğan aksar apni taqareer mein falasteeniyoun ke huqooq ki himayat karte hain. turk sadar ka falasteenyoun ke huqooq ke difaa par mabni ek naya bayan samnay aaya hai. yeh bayan ek aisay waqt mein samnay aaya hai jab doosri taraf Israel ki fazai company nay kayi saal ki bandish ke baad turkey ke liye apni parwazein bahaal kardi hain.

Israel ki fazai company al-aal ka ek maal bardaar tayyarah Istanbul ke bain ul aqwami airport per utra. is jahaaz ke zariye turkey se 24 tonn tibbi samaan Israel laya gaya. Israeli akhbar ki report ke mutabiq das saal ke baad al-aal fazai company ke tayyaron ki istanbul mein pehli baar aamad waraft shuru hui hai. fil haal dono mulkon ke darmiyan tibbi samaan ki amad wo raft ke liye cargo tayyaron ki khidmaat bahaal ki gayi hai lekin dono mulkon mein fazai service ke ta-attul ke das saal ke baad ahem pesh Raft hai.

Rawan haftay Israel ki fazai company turkey ke liye insani bunyadon ke tehat do parwazein chalayegi. Ek taraf turkey falsteenyon ke huqooq ki himayat karta hai aur doosri taraf Israel ke sath bhi Ankara ka karobari mil jol jari hai. -YTN STAFF