Tuesday, May 21, 2024
HomeIndiaIsrael ki 50 hindustani dehatoun tak rasai

Israel ki 50 hindustani dehatoun tak rasai

New Delhi: Hindustan  Israeli strategic partnership ke tehat zarayi shobay mein taawun ke tehat banaye gaye 28 center of excellence ke aas paas ke pachaas gaoun ko village of excellence ke tor par tayyar kiya jayega jahan zaraat, aab paashi aur dehi taraqqi ke liye Israeli tecnology se ilaqay ki Shabeeh badli jaye gi.

Hindustan  mein Israel ke safeer ne yahan bain ul aqwami mulkon ki reporting karne walay sahafion ki union ( IAFAC) ke sath baat cheet ke ek programmed mein yeh maloomat di. unhon ne yeh bhi kaha ke Israeli hukoomat ka pani mehakma Maharashtra mein pani ke bohraan ko hamesha ke liye door karne ke liye ek tafseeli mansoobah tayar kar raha hai.

Unhoun ne kaha ke Hindustan aur Israel ke darmiyan taluqaat mustaqbil mein dono mumalik ke liye faida mand saabit honay walay hain. unhon ne kaha ke Hindustan  aur Israel ke darmiyan shiraakat daari iqtisadi shobay mein bhi taizi se badh rahi hai. hum chahtay hain ke dono mumalik ke karobari idaron ke darmiyan ziyada se ziyada shiraakat ho.

Unhon ne dono mumalik ke maliyati baazaaron aur maliyati regulators ke darmiyan bhi shiraakat ki wakalat ki aur kaha ke Mumbai mein share baazaaron ke CEO aur dono centrals bankon ke governors ke darmiyan rabta aur taal mel hona chahiye.

Ek sawal ke jawab mein Malika ne kaha ke strategic partnership ek jame term hai. zarayi shobay mein strategic partnership ke tehat Hindustan  ke 28 maqamat par 28 center of excellence qaim kiye gaye hain aur un mein taqreeban ek laakh 47 hazaar kisanoun ko tarbiyat di gayi hai.

Hukoomat hind ke sath mil kar ab har center of excellence ke aas paas ke pachaas Village of excellence tayyar kiye jayenge. un gaon ko aur unke khetoun ko pani ke muamlay mein khud kafeel banaya jayega aur iski taraqqi mein Israeli tecnology ka istemaal kiya jayega.

Israeli Wazeer-e-Azam Benjami Nethanyu ka hindustani dora mansookh honay ke baray mein poochay janey par malika ne kaha ke Nethanyu aur Wazeer-e-Azam Narendra Modi ki mulaqaat Israel ke intikhabaat ke baad hogi. dehshat gardi ke silsilay mein unhon ne kaha ke poori duniya ko is ka muttahid hokar muqaabla karna hoga. dehshat gardi ke khilaaf jung mein Hindustan  ko Israeli taawun ke baray mein poochay janey par unhon ne koi jawab nahi diya. –YTN STAFF