Friday, May 17, 2024
HomeSliderIsrael ke 'Qoumiyat ka Qanoon' ke khilaaf Palestine mein aam hadtaal

Israel ke ‘Qoumiyat ka Qanoon’ ke khilaaf Palestine mein aam hadtaal

Israeli Parliament (Knesset) ki janib se rawan saal manzoor kardah naam nihaad  ‘Yahodi Qoumiyat’ ke qanoon ke khilaaf somwaar ko maqboza maghribi kinare aur androon Palestine mein mukammal hadtaal ki gayi. Hadtaal ke mauqa aur talimi aur karobari idaray band rahay aur sadkon par traffic na honay ke barabar thi. Khayaal rahay ke Israel ney chand mah qabal aik naya qanoon manzoor kiya tha jis ke tahet sehyoni riyasat ko poori duniya ke Yahudion ka ‘Qaumi Watan’ qarar diya gaya tha. Falasteeni awam aur aalami satah par Israel ke is mutanazia qanoon ke khilaaf sakht ehtejaj kiya gaya Jordon River ke maghribi kinare, shumali aur junoobi Falasteeni ilaaqon mein bhi hadtaal ki gayi. Iss mauqa par sadkon par traffic na honey ke barabar thi jab ke karobari tabqa ney bhi hadtaal mein bharpoor sath diya. School, jamiyaat aur deegar aawami idaray band rahay. Naqideen aur insani huqooq ki tanzeemon ka kahna hai ke ‘Yahoodi Qoumiyat’ ka qanoon sehyoni riyasat ko nasal parast bananey ki taraf aik nayi paishraft saabit hoga aur is qanoon par amal daari se Israel mein abad ghair Yahoodi aqwam ke bunyadi haqooq pamaal karne ki raah hamwar hogi. Taham Israeli hukoomat ka muaqqaf hai ke woh mojooda Israeli tshkhs ko bahaal karne ke liye is qanoon ki manzoori tak pohanchi. Albata naqideen usay arab aqliat ke khilaaf nasal parasti aur jamhoori aqdaar ki nafi ka qanoon qarar dete hain.