Friday, May 9, 2025
HomeTrending NewsIsrael ka yaktarfa faisla mashriq wasti ke aman ke liye khatrah, Emarat...

Israel ka yaktarfa faisla mashriq wasti ke aman ke liye khatrah, Emarat ki tashweesh

Dubai: UAE ke wazeer kharja Anwar Gargash ne kaha hai ke Israel ki janib se maghribi kinare ke inzimam ke liye yaktarfa faisla mashriq wasti ke aman amal ke liye khatarnaak dhakka hoga.Al-Jazera ki report ke mutabiq Israeli wazeer e azam Benjamin Netanyahu keh chuke hain ke Israel ke azad Palestine ke ilaaqoun tak towsee ke inzimam ke mansoobay par yakam July se kabeena mein behas shuru hogi.

UAE ke wazeer kharja Anwar Gargash ne Twitter par apne bayan mein kaha ke Paletine sarzamen ke inzimam se mutaliq Israel ki baatai band honi chahiye. Unhoun ne mazeed kaha ke Israel ka koi bhi yaktarfa qadam aman amal ke liye dhakka hoga. Anwar Gargash ne kaha ke Palestinoun ki khud aradit ko nazar andaz karne, Aman o istehkaam ki janib aalmi aur Arab mumalik ke ittafaq raye ko mustard karne se shadeed nuqsaan hoga. Khayaal rahay ke UAE khaleej mein Iran ke khilaaf America ka ahem ittihadi hai aur un ka moaqqaf hai ke khittay mein Iran ke assar o rasookh ko rukna zarori hai.

Khaleeji mumalik ka khayaal hai ke Iran riwayati policy ke tehat Palestinies ki himayat karkay khittay mein apna asar badhana chahta hai jis ke toad ke liye mazboot ittehaad ki zaroorat hai. UAE sameit deegar Arab mumalik America ke sadar Donald Trump ka tajweez kardah naam nihaad middle East moahida ki pur zor himayat karte hain, Jis mein Israel se munsalik sarhad mein Palestine ko ghair musallah kardiya jaye. 

Trump ke mansoobay mein mutanazia shaqq Jerusalem ko Israel ka dar-ul-hukoomat qarar dainay ke sath sath maqboza maghribi kinare ki bustiyoun aur waadi urdan ko Israel mein zam karne ki ijazat dena thi. Is mujawaza mansoobay mein Israeli awam ke dahaiyo par anay mutalibaat ko tasleem karte huve Palestine ko mehdood ikhtiyarat ke sath iqtidaar dainay ki tajweez pesh ki gayi thi.

Doosri janib Palesteeni hukkaam se is mansoobay ki tayari mein koi mushawarat nahi ki gayi thi jis ke nateejay mein unhoun ne is mansoobay ko mustard kardiya tha. Haliya barsoun mein Israel aur UAE ke darmain taluqaat ke hawalay se bhi kayi reports samnay aati rahi hain. UAE ke wazeer kharja Anwar Gargash ne guzashta baras March mein ek bayan mein kaha tha ke Arab mumalik ne maazi mein Israel se baqaida taluqaat ya rabita nah rakhnay ka ek intehai ghalat faisla kiya tha.

Unhoun ne kaha ke dar haqeeqat hamein aman ki janib pesh raft ke liye hikmat e amli mein tabdeeli ki zaroorat hai. Yaad rahay ke Palestine sadar Mahmood Abbas ne 23 April ko kaha tha ke agar maqboza maghribi kinare ka Israel mein inzimam kiya gaya to Palestine hukkaam ke Israel aur America se huve muahiday ko mukammal tor par mansookh tasawwur kya jaye ga. Unhoun ne kaha ke hum ne America aur Israeli hukoomat samait mutaliqa bain ul aqwami fariqain ko aagah kardiya hai ke agar Israel ne hamari zameen ke kisi hissay ka inzimam karne ki koshish ki to hum haath bandhay nahi khaday rahenge.

Wazeh rahay ke Israel aur Palestine ke darmain aman mazakraat 2014 mein khatam hogaye they jabkay Palestine ne Trump ki janib se aman mansoobay ko pesh kiye jaanay se qabal hi mustard kardiya tha. Palestine aur aalmi baradri Israeli aabadiyoun ko Geneva convention 1949 ke tehat ghair qanooni qarar deti hai jo jang ke douran qabzay mein li gayi zameen se mutaliq hai jabkay Israel bet ul Muqaddas ko apna markaz qarar deta hai. –YTN STAFF