Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderIsrael ka Palestine ilaaqon qabza najaaiz: Saudi Arab

Israel ka Palestine ilaaqon qabza najaaiz: Saudi Arab

Berlin: Saudi Arab ne kaha hai ke Israel ka Palestine ilaaqon qabza najaaiz hai. Riyadh Palestine aur Israel ke darmain Arab aman muahiday ke tehat aman ka paband hai. Media ke bamujab guzashta jumaraat ko Mutahidda Arab Emarat aur Israel ke darmain taluqaat ki bahaali ke elaan ke baad Saudi wazeer kharja Shehzada Faisal Bin Farhan kaha ke ye bayan Germany ke shehar Berlin mein ek Press Conference ke douran samnay aaya hai.

Unhoun ne kaha ke Saudi Arab bastiyoun ki taamer aur ilhaaq ki yak tarfa aur do reyasti hal ke liye nuqsaan da samjhta hai. Saudi wazeer kharja ne Germany mein Press Conference ke douran kaha hai ke Israel ka Palestine ilaaqon qabza yak tarfa iqdamaat Palesteni aur Israiles ke darmain aman ke mawaqay mein rakawaten daal rahay hain.

Saudi wazeer kharja Faisal Bin Farhan nay kaha ke apne German hum mansab se Iran par aslehay ki pabandi mein towsee ki zaroorat par tabadlah khayaal kiya hai. Iran haosion ko asleha faraham kar raha hai. Shehzada Faisal Bin Farhan nay Libya ke bohraan ke hawalay se kaha hai ke Saudi Arab Libya ke bohraan ke hal ke liye Berlin Conference ke muqarrar kardah usoolon aur Cairo aman mansoobay ka haami hai.

Wazeh rahay ke Saudi Arab ke ek mumtaz mufti nay daawa kiya hai ke Palestine ki azaadi ke liye jehaad karna sharai fareeza nahi hai. Saudi Mufti nay Israel aur Mutahidda Arab Emarat ke mabain muahiday ke baad apne Twitter page par likha Palestine ki azaadi koi mazhabi fareeza nahi hai.

Saudi mufti ne Israel ke sath Saudi taluqaat ka difaa karte hue mazeed likha ke ju hamari taaqat se baher hai is ka anjaam dena sharai fareeza nahi hai kyunkay musalmanoon ke paas Palestine ko azad karwane ki taaqat nahi hai.