Monday, May 13, 2024
HomeSliderIsrael ka kisi bhi social media account tak rasai ka daawa

Israel ka kisi bhi social media account tak rasai ka daawa

Jerusalem : Sabiq mein Whatsapp Leak karne ke ilzaam mein khabroun ki zeenat ban’nay wali ek Israeli khufia company nay apne sarfeen ko aagah kiya hai ke woh duniya ki badi samaji rawabit ki Websites se sarfeen ka data jama kar sakti hai. Bartanwi akhbar financial times ki report mein likha gaya ke NSO Group nay apne kharidaron par inkishaaf kiya hai ke is ki technology khufia tareeqay se Apple, Google, Facebook, Amazon aur Micorsoft ke servers se kisi bhi shakhs ka data bar aamad kar sakti hain.

Is hawalay se poochay gay sawalaat ke tehreeri jawabaat dete hue NSO  ke tarjuman nay un ilzamaat ko mustard kardiya aur kaha ke NSO ki services aur technology ke barey mein bunyadi ghalat fehmi payi jati hai. NSO ki masnoaat ke shaya shuda mazmoon mein diye gay infrastructures, services kisi qisam ki collections karne ki salahiyat aur cloud application tak rasai faraham nahi kartin.

May mein Whatsapp nay kaha tha ke is nay application mein mojood ek security hole plug karne ke liye ek update jari kar rahi hai jis se jadeed tareen spy veer daakhil kiya ja sakta tha jisay mumkina tor par sahafion, raza karon aur deegar ke khilaaf istemaal kiya ja sakta tha. company ki janib se mushtaba idaray ka naam nahi diya gaya tha taham yeh leak manzar-e-aam par anay ke waqt Washington se talluq rakhnay walay tajzia nigaar Joseph hall jo center for democracy and technology ke chief technologist bhi hain unhon naay kaha ke is ka talluq NSO ke peigaas software se hai.

Yeh software umooman qanoon nafiz karne walay aur khufia farokht kiye jatay hain. financial times ki report mein numeral ki tafseelaat aur dastawizaat ke hawalay se kaha gaya hai ke programme is terhan tarteeb diya gaya hai ke woh phone se badh kar cloud mein mehfooz maloomat haasil karle. maslan jiski maloomat haasil ki jarahi hai is ki mojoodgi ki mukammal tareekh, delete kardah paighamaat aur tasaweer waghera haasil ki ja sakti hain. NSO ke mutabiq woh pegasiz system operate nahi karti sirf huakoomati sarfeen ko licence jari karti hai jis ka wahid maqsad sangeen juraim ya dehshat gardi ko rokna ya is ki tafteesh karna hai.

Yeh idaara 2016 mein is waqt khabroun ki zeenat bana tha jab mohaqiqeen nay is par mutahidda arab amarat ke ek samaji razakaar ki jasoosi mein muawnat karne ka ilzaam aed kya tha. NSO Israel ke darul hukoomat  ke nazdeek waqay sahili aur jadeed technology ke markazi shehar mein hai. –YTN STAFF