Thursday, May 15, 2025
HomeSliderIsrael ghair qanooni riyasat : Iran

Israel ghair qanooni riyasat : Iran

Tehran: Iran ke pasdaran inqilab ke commander and chief major general Hussain Salami ne Israel ko ghair-qanooni riyasat qarar dete hue kaha hai ke riwayati hareef ki tabahi qabil husool hadaf bangaya hai. report ke mutabiq major general hussain salami ne kaha ke yeh najaaiz riyasat ko naqshay se zaroor khatam kardiya jayega aur yeh daur nahi, ek khawab jo qabil-e-husool hadaf hai.

Unhon ne kaha ke Iran ke islami inqilab ki 4 dahaiyo mein hum ne shyoni ghair qanooni riyasat ko tabah karne ki salahiyat haasil karne ka intizam karliya hai. Ek intro mein general Hussain salami ne kaha ke yeh shyoni hukoomat khatmay ki janib gamzan hai kyunkay ibtida se hi yeh qanooni hesiyat se khokhli hai aur Israel ki apni koi sar-zameen ya abadi nahi yahan tak duniya ki tareekh mein bhi iska koi wujood nahi hai. unhon ne kaha mazeed kaha Israel ke androoni masail aur khatraat badh gay hain aur khittay mein is ke fasaad ne islami duniya mein darad daal diya hai jiski wajah se aslhe se lais badey giroh aur faujein is ke khilaaf khadi hain.

General Salami ne kaha ke islami inqilab ke pehlay marhalay mein is ko tabah karne ki salahiyat haasil karli hai lekin dosray marhalay mein fasadi riyasat ko duniya ke geography se khatam kar dena chahiye aur yeh ahem masla nahi koi khawab nahi raha balkay qabil-e-husool hadaf hai. khayaal rahay ke irani general ki janib se Israel ke khilaaf is tarha ka sakht bayan pehli martaba samnay nahi aaya balkay is se qabal bhi woh apni taaqat se khabardaar kar chukay hain taham unka yeh bayan ek aisay waqt mein samnay aaya hai jab khittay mein un ke taluqaat Saudi arab se intehai kasheeda hain aur jung ke khatraat mandala rahay hain.

General salami ne chand haftay qabal America ko khabardaar karte hue kaha tha agar unhon ne Iran ko jung mein dhakelnay ki koshish ki to is ke nataij tabah kin honge aur iska khtama phir Iran ke haath mein hoga. yaad rahay ke Saudi arab ki tail bar-aamad karne wali duniya ki sab se badi company Aramcoo ki tansibat par drone hamlon ke baad Iran ke khilaaf kasheedgi mein izafah hua hai kyunkay Saudi arab aur America ki janib se Iran ke mulawis honay ke ilzamaat aaed kiye gay they jabkay Iran ne un ilzamaat ko mustard kardiya tha. Ek interview mein Saudi walii ehad Mohammad bin Salman ne bhi wazeh kiya tha ke Iran aur Saudi arab ke darmiyan jung aalmi maeeshat ke liye intehai nuqsaan ka baais hogi. –YTN STAFF