Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderIsrael. Emarat Visa Free safar par mutafiq

Israel. Emarat Visa Free safar par mutafiq

Dubai: Mutahidda Arab Emarat ke Senior ohdedaron ne iftitahi wafad Tel Aviv pounchanay ke baad Israel ke sath ghair-maa’mooli taawun ke muahidon par dastakhat kiye hain. Khittay mein khangi shobay ke mansoobon ko farogh dainay ke liye America ke sath mil kar 3 billion dollar ke sarmaya kaari fund ke liye bhi mansoobon ka elaan kiya gaya.

Israeli Wazeer e Azam Benjamin Netanyahu ne ek roza ijlaas ke iftitahi mauqa par kaha aaj hum tareekh ko is andaaz mein tashkeel day rahay hain jo naslon tak qaim rahay gi. Unhoun ne mazeed kaha hai ke mujhe lagta hai ke Mutahidda Arab Emarat ke aisay aala sathi wafad ke doray se hamaray awam, Khittay aur poori duniya ko dostana, Pur aman aur mamool ke tabadlay honay ka faida miley ga.

Mutahidda Arab Emarat ke wafad ki qayadat wazeer baray iqtisadiat Abdulullah bin Touq Al-Mari aur wazeer mumlikat baray umoor Obaid Humaid Al-Tayer ne ki. Abu Dhabi se Ben Gurion airpor ke liye Tel Aviv ke qareeb ittehaad Airways ki parwaaz mein US Treasury Secretary Steven Mnuchin  aur deegar Americi ohdedar bhi un ke hamrah thay.

Mnuchin  ne is doray ko ek tareekhi mauqa qaraar diya. Unhoun ne kaha ziyada tar muashi khushhali ke sath hi salamti mazboot tar hoti hai. Mnuchin  ne kaha Mutahidda Arab Emarat America aur Israel khittay mein khatraat aur mawaqay ke baray mein yaksaa nazriya rakhtay hain.

Ohdedaron ne ek muahiday par dastakhat kiye jis se un ke shehrion ko dono mumalik ke mabain Visa ke baghair safar ki ijazat di ja sakti hai, Jo Arab duniya mein pehla mulk hai. Israel ke Misar aur Urdan ke sath aman muahiday hain lekin safar ke liye visa darkaar hain.

Israel aur Mutahidda Arab Emarat ne sarmaya kaari ke tahaffuz aur Science aur Technology ke muahidon par bhi dastakhat kiye aur ek Civil Aviation moahida ne dono mumalik ke mabain haftay mein 28 parwaazon ko ijazat di. Al-Tayer ne kaha ke un muahidon mein hamari dono mayishton aur apne awam ke liye khushhali ke husool ke behtareen mawaqay pesh kiye gaye hain.

Is ijlaas mein Americi numainday International Development Finance Corporation ke sarbarah Adam Boehler ne kaha ke tenu mumalik khangi shobay mein sarmaya kaari aur ilaqai taawun ki hosla afzai ke liye ibtidayi tor par 3 Arab Dollar akhatta karne ka takhmeenah lagatay hain.

Guzashta mah Mutahidda Arab Emarat aur Bahrain ek sadi ke ek chothai mein pehli Arab reastain bani jinhon ne taluqaat ko mamool par laane aur Israel ke sath bazabta taluqaat ustuwar kiye hain. Aglay mah ke sadaarti intikhabaat se qabal Americi sadar Donald Trump ke zareya Abraham  moheda ko tay kiya gaya tha aur White ​​House mein ek taqreeb ke douran dastakhat kiye thay.