Thursday, May 16, 2024
HomeSliderIsrael aur UAE mein safarti taluqaat moahida hogaya

Israel aur UAE mein safarti taluqaat moahida hogaya

Dubai: UAE aur Israel ke darmain tareekhi moahida tey huwa hai jis ke tehat dono mumalik ke darmain safarti taluqaat mukammal tor par mamool par ajayeen ge. Is muahiday mein Americi sadar Donald Trump neh salisi ka kirdaar ada kiya hai jis ke mutabiq Israel maqboza gharbِ Urdan ke kuch ilaqon ka apne sath ilhaaq moattal kar raha hai.

UAE aur Israel ki taraf se mushtarqa bayan mein kaha gaya hai ke is tareekhi safarti moahida se mashrqi wasti mein aman ko farogh miley ga. Ye moahida 3 rehnumao ki dulerana sefartkari aur vision ka saboot hai. Is muahiday se saabit hota hai ke UAE aur Israel ek naye rastay par chalna chahtay hain jis se khittay ki bharpoor salahetin broye-kar ayen gi.

UAE aur Israel ke darmain moahida Americi sadar Donald Trump, Abbu Dhabi ke Wali Ahad Sheikh Mohammed Bin Zayed Al Nahyan aur Israeli wazeer-e-azam Benjamin Netanyahu ke darmain mazakraat ke nateejay mein samnay aaya hai. Sadar Trump ne moahida honay ke baad Twit kiya ek bohat bada Break through! hamaray 2 qareebi dost mumalik UAE aur Israel ke darmain tareekhi maahd hogaya hai.

Wali Ahad Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nehyan nay kaha ke is muahiday ke baad Palesteeni ilaqon ka Israel se ilhaaq ruk jaye ga. Wali Ahad Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nehyan nay mazeed kaha hai ke’ sadar Trump aur wazeer-e-azam Netanyahu se phone par baat cheet ke douran moahida tey huwa hai jis se mazeed Palesteeni ilaqon ka Israeli se ilhaaq ruk jaye ga. UAE aur Israel is baat par mutfiq ho gaye hain ke dono mulk bahami taluqaat ke qiyam ke liye taawun ki nai rahein talaash karen ge aur ek naqsha raah mutayyan karen ge.

UAE ke khabar-rasan idaray WAM ke mutabiq tenu mumalik ne kaha ke mashriq wasti ki badi iqtisadi taqaton mein se 2 ke darmain barah-e-raast taluqaat ki shuruvaat ki badolat khitta taraqqi kere ga. Sharah numoo badhaygi. Jadeed Technology ko farogh haasil hoga aur aqwam aalam ke rishte mazboot hon ge.

Mushtarqa aalamia mein bataya gaya hai ke sadar Trump ki darkhwast aur UAE ke mazboot muaqqaf ki bunyaad par Israel , Palesteeni ilaaqon ko apni khudmukhtaari mein shaamil nahi kere ga aur ab wo Israel Arab aur Muslim duniya ke deegar mumalik ke sath taluqaat bananay sanwarnay par tawajah markooz kere ga.

America, Emirate aur Israel deegar mulkon ko bhi is safarti amal mein shaamil karen ge aur is nasb alayen ke husool ke liye muhim chalayein ge. Emirate aur Israel corona vaccine ki tayari se mutaliq bharpoor fori taawun karen ge aur vaccine ke jald az jald ijra ki koshish karen ge. Un kawishon ki badolat mazhab se baala hokar sab logon ki jaan bachanay mein madad miley gi.

Bayan mein ishara diya gaya hai ke fariqain Palestine Israel kashmakash ke paidaar, Jamia aur munsifana hal tak rasai ke liye jad-o-jehad jari rakhen ge. Aman programme ke bamujab tamam musalman masjid Aqsa ki ziyarat aur is mein namaz ke majaz hon ge jabkay bet ul Muqaddas ke deegar maqamat tamam mazahab ke ibadat guzaron ke liye khulay hon ge.

Sheikh Mohammed Bin Zayed Al Nahyan ney Americi sadar Trump aur Israeli wazeer-e-azam Netanyahu se Telephone raabtey mein kaha ke ye baat tey hochuki hai ke Israel Palesteeni ilaaqon ko apni khudmukhtaari mein shaamil karne ki karwai band kere ga jabkay Emarat aur Israel do tarfah taluqaat ke hawalay se mushtarqa taawun ka road map tayyar karen ge.