Monday, July 7, 2025
HomeSliderIsraa al-Ghomgham ko szaye mout hosakti hai

Israa al-Ghomgham ko szaye mout hosakti hai

Israa al-Ghomgham pehli khatoon insani huqooq karkun hain jinhein Saudi Arabia mein szaye mout hosakti hai, Un par muzahireen ko ishtial dilanay aur fsadyon ki akhlaqi himayat ka ilzaam hai, Shiah mazhab se talluq rakhney wali Israa ko 2015 mein shohar ke sath girftar kya gaya tha, jabkay adalti karwai 32 mah baad shuru hui. Amnesty International ne Saudi hukoomat se mutalba kiya hai ke woh khatoon rukn ko szaye mout dainay ke iradah ko tark kardey, tanzeem ke mutabiq May se ab tak 9 khawateen sameit 12 kaarkunon ko girftar kya ja chuka hai. Muzahireen ko tashadud par ubhaarne ke liye kam az kam 13 khawateen ko hirasat mein liya gaya tha jin mein se 4 ko rihaa kardiya gaya. Udhar Canada ne bhi un karwaiyon par Saudi Arabia se apni tashweesh ka izhaar kya tha jis ke baad dono Mumalik ke darmyaan taluqaat mein bigaad aagaya hai, tarjuman Canadian wizarat kharja ka kehna hai ke huqooq niswaan, insani huqooq aur azadi izhaar e raaye ke liye khaday rahen ge, Isi muamlay par Canada aur Saudi Arabia mein tanaoo paaya jata hai.

Israa ko phansi dainay ki sifarish sara sar zulm hai, Human Rights Watch

Human Rights Watch ki janib se jari aik bayan mein kaha gaya hai ke Israa al-Ghomgham ko phansi dainay ki sifarish sara sar zulm hai. Wazeh rahay ke Saudi prosecutor ne Israa al-Ghomgham sameit 5 khawateen ko szaye mout ki sifarish ki hai, Israa al-Ghomgham ke khilaaf 32 mah baad adalti karwai hui hai. Paanchon karkunaan ke muqadmaat dehshat gardi ki Secret Trial Court mein zair samaat hain, Prosecutor ne Israa sameit insani huqooq ke 5 karkunaan ko szaye mout ki sifarish ki hai. Siyasi taur par fa-aal Israa al-Ghomgham ko 2015 mein Saudi Arabia se girftar kya gaya tha, al-Ghomgham par muzahireen ko ishtial dilanay aur fsadyon ki ikhlaqi himayat ka ilzaam lagaya gaya hai, 29 sala Israa ne Saudi arab ke tamam shehrion ke liye yaksaa huqooq ka mutalba kya tha. Woh 2015 mein apni giraftari tak Saudi Arbia ke mashriqi soobah mein 2011 se zabardast muzahiray karti aa rahi thi. Saudi Arabia ne Israa sameit deegar huqooq insani kaarkunon ke khilaaf karwaiyon ko tark kardainay ke mutalba ko Mulk ke dakhli umoor mein madakhlat par mahmool karte hue mustard kardiya hai.