Sunday, April 28, 2024
HomeLatest News“Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Baad”, NewZeaLand Mein Nai Tareekh...

“Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Baad”, NewZeaLand Mein Nai Tareekh Raqam

Christchurch: NewZealand ke shehar Christchurch ke waqea aur is douran 2 jummay ke douran runuma honay walay waqeat ne aalmi musalmanoun ke zehnoun mein Moulana Mohammad Ali johar ke Sher ka woh misra sani phir taaza kardiya hai jis mein unhoun ne kaha tha ke aslam “Islam Zinda Hota Hai Har Karbalaa Ke Baad”.

Aisay hi kuch halaat Christchurch ke Masjid mein hamlay ke 2 jummay ke douran paish aaye jahan guzishta jummay dehshat gard ne do Masjid mein gjus kar namaz mein masroof Allah ke mehmanon ko andha dhun firing ke zareya shaheed kardiya tha lekin is waqea ke foran baad dosray hi jummay nah sirf NewZealand ki Masjid mein musalmanoon ki tadaad mein izafah dekha gaya balkay NewZealand ki sarkari TV aur radio se azaan bhi Nashar ki gayi. dehshat gard waqea ke baad dosray jummay ko NewZealand mein insaaniyat jeet gayi, musalmanoon se Izhar-e-ekjehti ke liye har rang ke log Christchurch ke Hagley park mein jama hue, tareekh mein pehli martaba azaan, namaz-e-jummay aur khutba sarkari TV par barah-e-raast Nashar kya gaya. Wazeer-e- azam Jacinda Arden Hadees-e-Nabawi bayan ki aur kaha ke hum ek hain .

Un manazir ne NewZealand mein ek nai tareekh raqam kar di hai. Christchurch mein Masjid ke shuhada ke sath izhaar-e-ekjahti karte hue parliment mein tilawat-e-Quran-e-pak ke baad TV par azaan Nashar ki gayi. kalay goray har rang ke log ek hogaye aur musalmano se aqeedat aur mohabbat ka izhaar kiya. Namaz-e-jumma  Masjid Al-Noor ke samnay Hagley park mein ada ki gayi jis mein hazaron afraad ne shirkat ki. khutba jummay ke douran wazeer-e-azam Jacinda Arden ashkbaar hogai .

Unhon ne siyah libaas aur scarf pehna sun hua tha. azaan ke baad shohada ki yaad mein 2 minute ki khamoshi ikhtiyar ki gayi. khutba jummay mein khateeb sahib ne kaha ke jo log jaan se gay woh aam nahi, un ki shahadat NewZealand ke liye nai zindagi hai, unhon ne NewZealand ke awam aur khaas tor par wazeer-e-azam NewZealandJacind arden ki mohabbaton ka shukriya ada kiya. Namaz-e-jummay ke baad NewZealand ki wazeer-e-azam Jacinda arden ne bhi khitaab kya. unhon ne hadees نبویﷺ bayan ki aur kaha musalmanoon ke gham mein barabar ke shareek hain, sara NewZealand ghumzdaa hai .

Wazeer e azam  ne hadees bayan ki ke musalmanoon ke mazhab ke mutabiq hazrat Mohammad (S.A.W)  ne farmaya, Momin bahami hamdardi, shafqat aur meharbani mein ek jism ki tarhan hain, jab ek bhi hissay mein zakham hota hai to poora jism dard mehsoos karta hai. NewZealand aap ke gham mein barabar ka shareek hai, hum ek hain. wazeh rahay ke NewZealand ki tareekh mein aisa pehli martaba sun hua hai ke azaan, namaz jummay o khutba sarkari TV par barah e raast Nashar kiya gaya .