Mecca Mukaramah: Duniya bhar mein taizi se phelnay wali waba Coronavirus ki wajah se tamam mazahab ke maan-ne waloun ko ijtimai ebadaat karne mein shadeed mushkilaat darpaish hain aur takriba tamam mazahab ke pirokaroun ne ijtimai ebadaat ko earzi tor par moattal kardiya hai. Deegar mazahab ke maan-ne waloun ki terhan Musalmanoun ki ijtimai ebadaat ko bhi earzi tor par mehdood kardiya gaya hai, Jahan Saudi Arab ne Coronavirus ki wajah se Umrah ki adaigi par earzi pabandi laga rakhi hai.
Wahein duniya bhar mein Islami mumulk ne Namaz Jummay ke ijitmaat par bhi earzi tor par juzwi pabandi ayed kar rakhi hai lekin duniya bhar ke lakhoun Musalman jald hi shuru honay walay fareeza Hajj ke hawalay se pareshani ka shikaar hain kyun ke ta haal Saudi Arab ki hukoomat ne kisi bhi mulk ke sath Hajj ka moahida nahi kiya. Saudi Arab ki hukoomat har saal Hajj ka Season shuru honay se qabal duniya ke tamam mumulik se Hajj intizamaa se mutaliq muahiday karti hai aur ye muahiday Islami mahinay mah Ramadan se ek mah qabal hi kardiye jatay hain, Lekin is martaba Coronavirus ki wajah se mazkoorah muahiday nahi ho sakay.
Coronavirus ki wajah se hi Saudi hukoomat ne guzashta mah tamam mumulik ko filhaal Hajj muahiday nah karne ki darkhwast ki thi, Jis ke baad duniya bhar ke lakhoun Musalman pareshan hain ke is baar wo fareeza Hajj ada kar saken ge ya nahi? Ye wo sawal hai jo duniya ke daidh Arab se zayed Musalmanoun ke zehan mein uth raha hai aur takreeban duniya bhar ke 25 lakh ke qareeb afraad is hawalay se bohat pareshan hain, Kyun ke takreeban har saal 22 se 25 lakh Musalman fareeza Hajj ki adaigi ke liye Saudi Arab ka rukh karte hain.
Is saal Hajj ki adaigi ki ijazat hogi ya nahi, Is hawalay se kuch bhi kehna qabal az waqt hai, Kyunke Saudi hukoomat ney bhi is hawalay se koi wazahat nahi ki aur sath hi Saudi Arab mein bhi Coronavirus taizi se phail raha hai. Tafseelaat ke mutabiq Saudi hukoomat ki janib se tamam mumulik ko Hajj muahiday nah karne ki darkhwast ke baad ta haal ye wazeh nahi ho saka hai ke is saal Musalmanoun ko Hajj ki adaigi ke liye Saudi Arab anay ki ijazat di jaye gi ya nahi?
Coronavirus ke taizi se phelao ki wajah se jahan Saudi Arab ney Umrah ko earzi tor par moattal kar rakha hai aur mah Ramadan mein bhi Umrah Visa jari nah karne ka elaan hochuka hai, Wahein Saudi Arab mein Lockdown nafiz hai jab ke hukoomat ney 4 se 5? April ko mulk ke mutadid ilaqoun mein Curfew bhi nafiz kardiya tha jis se andaza hota hai ke wahan par Corona se mutaliq mamlaat ta haal naazuk hain.
Agar aindah chand haftoun mein Coronavirus ki waba par qaboo pa liya gaya to Saudi Arab ki hukoomat fareeza Hajj ki ijazat day sakti hai, Taham agar mamlaat par qaboo nah paaya ja saka to bad qismati ke sath is saal lakhoun Musalman fareeza Hajj ada nahi kar saken ge aur agar aisa huwa to aisa pehli baar nahi hoga balkay is se qabal bhi aisa ho chuka hai.
Maazi mein bhi jangoo aur bimarioun ki wajah se kayi baar Hajj ko mansookh kiya ja chuka hai aur sab se pehlay 930 Hejri mein Hajj ko ek jungi hamlay ke baad mansookh kiye jaane ki tareekh millti hai. Report mein bataya gaya ke 930 Hejri mein khilafat Abbaseya ke daur mein ek firqay ki janib se Hajj ki adaigi ke douran hajioun par hamla karne ke baad Hajj ko aindah 10 saal tak mansookh kardiya gaya tha.
Isi terhan takreeban 38 saal baad 968 mein bhi waba ke phoot padney ki wajah se Hajj ko mansookh kardiya gaya tha jab ke saal 1 hazaar se le kar 1030 tak ke darmain bhi Hajj ki adaigi ke liye mehdood mumulik ke loog puhanche they, Kyun isi arsay ke douran mutadid mumulik mein qeht aur bemariyan phoot pari then.
Aur takreeban nisf sadi baad 1099 aur 1100 ke aaghaz mein ek baar phir fareeza Hajj ki adaigi mein khalal pada, Kyun ke is waqt Musalman mumulik mein jangoo ka aaghaz huwa chuka tha aur isi waqt hi salebi jangoo ka silsila shuru huwa jo takreeban 200 saal tak raha aur is douran kayi martaba Hajj ko mansookh kiya gaya. Agarchay salebi jangoo ke douran mukammal tor par Hajj ko mansookh nahi kiya gaya tha, Taham kasheedgi ki wajah se kayi musalman mumulik se loog faraize ki adaigi ke liye nahi ja sakay they.
Isi terhan salebi jangoo ke ekhtataam ke baad bhi kasheeda halaat, Bimarioun, Qeht saali aur jangoo ki wajah se bhi baaz martaba Hajj ko mansookh kiya gaya ya phir kayi mumulik se aazmin faraize ki adaigi ke liye muqaddas maqamat ki janib rukh nah kar sakay. Report mein Misar ke mazhabi ulma ka hawala bhi diya gaya, Jinhoun ne tareekh Islam ki roshni mein bataya ke hukkaam ko siyasi ya hifazati buneadoun par Hajj ko mansookh karne ka ikhtiyar haasil hai aur aisa ghair Islami nahi hoga. Misar ke ulma ke mutabiq Coronavirus jaisi waba se bachney sameit deegar masail ki wajah se agar Saudi hukoomat Hajj ko mansookh kardeti hai to ghair mazhabi nahi hoga aur aisay ehkamaat mojood hain jin mein insanoun ko kaha gaya hai ke khud ko halakatain mein nah dalain.
Isi hawalay se Middle East I ne apni khusoosi Report mein bataya ke Saudi Arab mein Corona ke taizi se phelnay ki wajah se wahan ki hukoomat ki janib se uthaye jane walay iqdamaat se is baat ka khadsha peda hogaya hai ke mumkina tor par is saal lakhoun Musalman fareeza Hajj ki adaigi nahi kar saken ge taham is hawalay se kuch bhi kehna qabal اaz waqt hai. Middle East I ke mutabiq agar bad qismati se is saal fareeza Hajj ki ijazat nah di gayi to ye mumlikat Saudia ki tareekh mein pehla mauqa hoga ke Musalman Hajj ki adaigi nahi kar sakenge.
Report mein bataya gaya ke agar is saal Hajj ki ijazat nah di gayi to agarchay ye Saudi Arab ki tareekh mein pehli baar aisa hoga, Taham Islami tareekh ka ye pehla waqea nahi hoga balkay is se qabal bhi mutadid baar fareeza Hajj ko mansookh kiya ja chuka hai. Report mein bataya gaya ke Saudi Arab ke 1930 mein qiyam se qabal jangoo aur bimarioun ki wajohaat ki bana par mutadid baar fareeza Hajj ko mansookh kiya gaya jab ke mutadid baar mukammal tor Hajj par pabandi ayed karne ke bajaye Hajj ke baaz rukan ada karne par pabandi ayed ki gayi.
Tareekh ke mutalea se maloom hota hai ke 865 eewsi saal se le kar 1883 eewsi tak kayi baar jangoo aur bimarioun ki wajah se fareeza Hajj ko mansookh kiya gaya. Aakhri baar Hajj ke kuch arkaan ko bimarioun aur wabaon ki wajah se 1883 mein mansookh kardiya gaya tha, Taham is saal mukammal tor par Hajj par pabandi nahi thi. Heran kun baat ye hai ke 1883 ke baad 1918 mein anay wali khatarnaak waba Spenish Flow ke douran bhi fareeza Hajj par pabandi nahi lagai gayi thi, Is waba se duniya bhar mein takreeban 5 crore ensaan luqmah ajal banay they. Agar is saal 2020 mein Coronavirus ki waba ke baais Saudi hukoomat fareeza Hajj ki ijazat nahi deti to guzashta daidh so saal mein ye pehla mauqa hoga ke lakhoun Musalman fareeza ada karne se qassar honge. –YTN STAFF