One Day mein behtar All Rounder na ban’nay ka afsos
New Delhi: Hindustani Cricket team ke sabiq All Rounder Irfan Pathan ne daawa kiya hai ke wo One Day cricket mein Hindustan ke sab se achay All Rounder ban satke they lekin un ka cricket career ziyada din nahi chal saka aur isi wajah se wo Hindustan ke behtareen All rounder nahi ban sakay. Irfan ko hamesha pachtaawa rahay ga ke unhoun ne apna aakhri bain ul aqwami match sirf 27 saal ki omar mein Hindustan ke liye khela tha. Irfan ko ye bhi lagta hai ke wo Hindustani team ko ziyada day satke they lekin aisa nahi ho saka kyunkay waqt pehlay hi inhen team se baher kardiya gaya tha. Mayoos Irfan ne 27 saal ki kam omri mein cricket ko ’Alvidah’ kaha.
Ek Website se guftagu mein Irfan ne kaha ke mujhe waqai mehsoos hota hai ke mein One Day mein Hindustan ka sab se accha all rounder ban sakta tha. Aisa nahi huwa kyunkay mujhe ziyada cricket khailnay ka mauqa nahi mila. Mein ne apna aakhri match 27 saal ki omar mein hindostan ke liye khela tha. Is mein koi shak nahi ke Irfan 27 saal ki Omar mein apni subuk doshi ke baaray mein bohat mayoos they lekin ab inhen is baat par bilkul bhi dukh nahi hai. Irfan khush hain ke unhoun ne mutadid baar hindustani team ko mushkilaat se baher nikala aur apni shiraakat se usay jeet dilaye.
Is baaray mein guftagu karte huve Irfan ney kaha ke mujhe lagta hai ke agar mein 35 saal ki omar tak kheltaa to sorat e haal behtar hoti lekin ab sab kuch guzar chuka hai. Mein ney jo match khailay wo match jeetnay waloun ki terhan khailay. Mein ney ek khiladi ki hesiyat se khail khela jis ney farq peda kiya. Agar mein ney match ki pehli wicket li to is se team ko bohat farq pada. Mein ney tamam Inning jo mein ney bat ke sath kheli hain mein ney farq karne ke liye khelain.
Wazeh rahay ke jab Irfan Pathan ne 19 saal ki omar mein bain ul aqwami cricket mein qadam rakha to un ki Bowling ne sab ko heran kardiya tha. Irfan ki bowling umdah thi lehaza wo 59 One Day matchon mein 100 wickten haasil karne mein kamyaab hogaye. Pathan aisa karne walay pehlay hindustani bowler banay. Irfan ka ye record Mohammad Shamee ne barsoun baad toad diya. Zakhamo ka Pathan ki team mein andar aur baher honay mein ahem kirdaar raha. Is omar mein jab bowler amuman career ke urooj par hotay hain, Pathan ne is omar mein apna aakhri match hindostan ke liye khela tha. Baad azan Pathan ne apni batting par tavajja margoz karna shuru ki aur agarchay all rounder ney pehli test century score ki to logoun ne mehsoos kiya ke is ka assar un ki bowling par pada hai.
Unhoun ne kaha ke agar aap dekhen to pehlay 59 One Day matches mein inhen nai gaind se bowling ki zimma daari di gayi aur jab aap nai gaind ke bowler hotay hain to aap ko nai gaind ke sath sath purani gaind ke sath bhi bowling karne ka mauqa milta hai. Aap ka maqsad, Aap ki zehniat, Aap ki jismani harkaat o saknaat aur aap ki zimma daari ye hai ke wickten len lekin jab aap pehli baar bowling kar rahay hain to aap ka kirdaar bhi tabdeel hojata hai, Aap ka kirdaar difai hojata hai. Pathan baar baar zakhmi aur match form se ladtay rahay jis ki wajah se wo hindustani team se baher hogaye. Lekin jab bhi wo Hindustan ke liye bowling ka aaghaz karte to wo apne urooj par hotay. Aakhri match jo unhoun ne Hindustan ke liye khela tha Pathan ney August 2012 mein Sri Lanka ke khilaaf 5 wickten haasil kee, Jabkay nai gaind ke sath zimma daari bhi nibhate rahay.