Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsIraqi nazaad khatoon Dr Hala American adalat ki Judge muqarrar

Iraqi nazaad khatoon Dr Hala American adalat ki Judge muqarrar

New York: Americi Senate ney somwaar ke roz Iraq nazaad isaai kuldani khatoon Dr Hala Jarbou ko America ki ek zilai adalat mein wifaqi judge muqarrar karne ka elaan kiya hai.

Americi sadar Donald Trump ney March mein riyasat Michigan ke maghribi zila ki district court ki judge naamzad kiya tha aur Americi senate ki adalti committee ney un ke taqarrur ki towseeq kar di hai.

Baghdad mein Americi sifarat khanaay ney Facebook par apne safhay par ye ittila di hai ke Hala Jarbou pehli kuldani Americi hain, Jinhen wifaqi judge naamzad kiya gaya tha. Wo Iraq mein peda huvi aur phir apne walidain ke sath naqal makani karkay America muntaqil hogayi then.

Wo is se pehlay riyasat Michigan ke chhatay adalti circuit mein judge tainaat theen. Wo Michigan ke mashriqi zila mein Americi Attorney general ke daftar mein Assistant Attorney ki hesiyat se bhi khidmaat anjaam day chuki hain.

White House ke ek bayan ke mutabiq wo manshiat, Aatsheen hathyaaron ke juraim, Bachon par mujremana jinsi hamlon, Un ki makhrab ul-ikhlaq tasaveer aur films aur manshiat ki Smuggling se mutaliq muqadmaat mein sarkari wakeel ki hesiyat se pesh hoti rahi hain aur is ke baad judge ki hesiyat se isi noiyat ke muqadmaat ki samaat karti rahi hain.

Wo Oakland county mein Prosecutor’s  ke daftar mein bhi muawin wakeel istighasa ki hesiyat se khidmaat anjaam day chuki hain aur Oakland university mein padati bhi rahi hain. Hala Jarbou ki is waqt omar 49 saal hai. Wo aala taleem yafta hain. Unhoun ne Michigan university se Bachelor of business administration ki degree haasil ki thi aur is ke baad Wayne state university ke law school se qanoon mein doctriat ki degree aizaz ke sath haasil ki thi.