Baghdad: Iraq mein mazhabi rehnuma muqtida sadar ki qayadat mein hazaroun muzahireen ne Iraq se Americi fojioun ke inkhala ke liye ehtijaj kiya hai. Iraq mein hukoomat ke khatmay aur intikhabaat ke jald ineqad ke liye bhi kayi mah se ehtijaj jari hai. Tafseelaat ke mutabiq mashriqi Iraq ke zila Jadriyah mein hazaroun mardoun, Aurtoun aur bachoun ne muzahiray mein shirkat ki. Un mein se kayi loog qaabiz fouj bahar niklo aur khud mukhtari zindah badke naaray laga rahay thay.
Is douran muqtida sadar ke numainday Stage par aeye aur unhoun ne naamwar Shia rehnumao ki bayanaat padh kar sunaye. Unhoun ne ghair mulki afwaj ke inkhala, America ke sath Iraq ke security muahiday aur Iraqi fazai hudood ko Americi fouji o jasoos tayyaroun ke liye band karne ka mutalba kiya.
Unhoun ne kaha hai ke agar is par amal-dar-aamad hota hai to hum America ko qaabiz nahi samjhain ge aur agar ye sab nah huva to hum America ko dushman mulk garar dange. Is muzahiray ke baad bohat se muzahireen banners ko kode daano mein phenkhte hue chalay gaye, Jabkay bohat se afraad muzahireen ke camp mein chalay gaye. Iraq mein Irani general Qasem Soliemani ki halakat ke baad Iraq mein Americi afwaj ki mojoodgi par tanqeed ho rahi hai.
Irani general ki halakat ke baad Iraqi parliament ne 52 so Americi fojioun ke inkhala ke haq mein vote diya tha. Wazeh rahay ke Qasem Soliemani ki halakat ke baad Dayesh ke khilaaf Americi aur Iraqi fouj ki mushtarqa karwaiya band hain. Iraq mein Americi afwaj ki mojoodgi par muqtida sadar arse daraaz se tanqeed karte aeye hain. Muqtida sadar ki is appeal ki un ke mukhalif giroh hashd al shaabi ne bhi himayat ki hai. Khayaal rahay ke Iraq mein is khadshay ka izhaar kiya ja raha hai ke ho sakta hai ke ghusay se bharay muzahireen ewaan e sadar ya Americi Embassy par hamla kar den. –YTN STAFF