Sunday, May 19, 2024
HomeSliderIraq mein hukoomat mukhalif kaarkunon ke qatal ke baad khauf-o-heraas ka mahol

Iraq mein hukoomat mukhalif kaarkunon ke qatal ke baad khauf-o-heraas ka mahol

Baghdad: Iraq mein Iran ke haami groups aur maghrib ki janib jhukao rakhnay wali hukoomat ke darmain kasheedgi badh rahi hai aur guzashta ek haftay mein 2 karkun qatal kiye gaye jabkay teen ko qatilana hamlon mein bach niklay. Media kay bamujab qatal kiye gaye kaarkunon mein se ek ka naam Riham Yaaqub tha jin ki omar 29 saal thi aur wo ek Athletics Coach they. Riham Yaaqub hukoomat mukhalif ehtijaj mein shareek they aur inhen Iraq ke janoobi soobay Basra mein qatal kiya gaya.

Basra mein hi paanch din qabal Tahsin Al-Shahmani naam ke karkun ki halakat hui jinhein do darjan se zayed golian maari gayeen. Iraq mein guzashta mah qatal kiye gaye hukoomati musheer aur maroof Hisham Al-Hashemi ke qatal ke baad suretehal kasheeda thi aur ab The targeted killings ke haliya waqeat se mulk ki Civil Society mein khauf-o-hiraas ki lehar daud gayi hai.

Basra ke ek mashhoor samaji karkun Ammar Al-Hilfi ne kaha hai ke hukoomat aur security forces ne kuch nahi kiya liken sab jantay hain ke qaatil ek hi jaisay hain aur unhoun ne Riham, Tahsin, aur Hisham Al-Hashemi ka qatal kiya. Mulk mein mutasireen ki ek taweel fehrist hai. Haliya barson mein Iraq mein darjanon samaji karkunaan maaray gaye hain. Aisay waqeat mein honay walay 2018 ke ehtijaj shaamil hain jis ke douran ek lakh se zayed afraad ku dawakhanon mein daakhil kiya gaya tha.

Guzashta saal October mein Baghdad ke mukhtalif ilaaqon mein hukoomat ke khilaaf kayi ehtajaji rallies nikaali gayeen. Muzahireen ka maanna hai ke Iraq ki hukoomat bad unwaan aur Iran mukhalif hai. Muzahiron ke douran tashadud se 600 ke qareeb afraad halaak hue they, Jin mein se baaz ko muzahiron ke bad apne ghar jatay waqt rastay mein mara gaya tha.

Is douran mutadid aisay bhi they jinhein aghwa kiya gaya tha, Tashadud ka nishana banaya gaya tha aur dhamkiya di gayi theen. Basra mein Ludia Rimon, Fahad Al-Zubaydi aur Abbas Al-Subhi  naam ke teen samaji karkunaan Shahmani  khandan ke ghar taaziyat karne ja rahay they ke musallah afraad se bhari ek gaadi ny un par golion ki bochhaar kar di. Taham tenun is qatilana hamlay mein bach niklay. Shehar ki human rights council ke sarbarah Mehdi Al-Tamimi ny kaha ke August ke mahinay mein chay kaarkunon par qatilana hamlay kiye gay. Basra Iraq ka tail se malamaal shehar hai lekin sadkain khasta haal aur pani aur bejli ki sahulat ki halat battar hai.