Bhagdad: Iraq ney kaha hai ke Saudi Arab ney taluqaat behtar karte huwe Bhagdad mein 30 saal baad apna sifarat khana khol diya hai. Tafseelaat ke mutabiq sifarat khana, Saudi Wazir e Tijarat o sarmaya kaari Majid Bin Abdullah Al Qasabi ki sarbarahi mein wafad ke 2 roza doray ke douran khoola gaya.
Iran ki khittay mein asr o rasookh ko kam karne ke liye Riaz, Iraq se behtar taluqaat ka khwaahan hai. Iraqi Wizarat e kharja ke tarjuman Ahmed Shah ney kaha hai ke sifarat khana Green Zone mein khoola gaya hai. is paish Raft se dono Mumalik ko faida hoga. khayaal rahay ke Iraqi Wazeer e Azam Adel Abdul-Mahdi 6 April ko Iran ke doray par rawana honay walay hain. Woh rawan mah ke aakhir mein Saudi Arab jaaney ka bhi iradah rakhtay hain. Saudi Arab ney Iraq se 1990 mein taluqaat khatam kar diye they. Iraq ki janib se Kuwait par hamlay ke baad Saudi Arab ney taluqaat khatam karne ka elaan kiya tha.- YTN STAFF