Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsIraq aur Saudi Arab mein darjanoun muahiday

Iraq aur Saudi Arab mein darjanoun muahiday

Riyadh: Saudi Iraqi rabita council nay Strategic  taluqaat ko mazboot bananay ke liye tawanai, Sarmaya kaari aur sports ke shobo mein mutadid yaddashtoun par dastakhat kardiye. Rabita council nay Iraq aur Saudi Arab ke darmiyan khangi idaroun mein shiraakat ke farogh, Taawun ke naye darwazay kholnay aur mushtarqa mafadaat ke tahaffuz ka azm zahir kiya hai. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq Saudi Iraqi Rabita council ney Jedeed Arbi sarhadi chocky ke muamlay par tabadlah khayaal kiya. Tay kiya gaya ke jaisay hi tamam intizamaa mukammal hon ge badi sarhadi chocky khol di jaye gi.

Dono mulkoun ne bahami taluqaat ka miyaar buland karne ke liye thos khwahish zahir ki. Tey kiya gaya ke tamam shobo mein dono mulkoun ke brother awam aur rehnumao ki aarzouon ki takmeel ke liye taawun ke tor tareeqay mazboot kiye jayen ge. Fariqain ne mutadid yaddashtoun par dastakhat kiye. Taraqiyati fund, Iraqi wizarat khazana ko Iraq ke kayi taraqiyati mansooboun ke liye qarza day ga. Yaad dasht par dastakhat kardiye gaye.

Saudi Arab Shahi hidayat par Iraq ko novel coronavirus se nimatnay ke liye tibbi saz-o-samaan o adwiyah faraham kere ga. Fariqain ne sahet ke shobay ke hawalay se yad dasht par dastakhat kardiye. Wazeer mumlikat baraye umoor kharja Adel al-Jubeir ne kaha kay tamam shobo mein Saudi Arab aur Iraq ke taluqaat musalsal badh rahay hain. Dono mulkoun ke qaideen tareekhi rishtoun ke shayan shaan strategic taluqaat ko mustahkam bananay ke khwaahan hain. Media ke mutabiq Saudi naib wazeer difaa shehzada Khalid Bin Salman ne kaha hai ke Iraq, Mumlikat ke liye aur Saudi Arab, Iraq ke liye Strategic akai ka darja rakhete hai.