Sunday, May 19, 2024
HomeSliderIrani Wrestling Champion ko Navid Afkari ko sazaye mout sunai

Irani Wrestling Champion ko Navid Afkari ko sazaye mout sunai

Tehran: Ek Irani Wrestling Champion ko 2018 mein hukoomat mukhalif muzahiron mein kirdaar ada karne par Navid sazaye mout sunai gayi hai. Farsi zabaan ke nashriyati idaray Iran International ke mutabiq adalat ozma ney tasdeeq ki ke Navid Afkari ko do sazaye mout, Saadhay chay saal qaid aur 74 koday ki saza sunai gayi.

Iran International ke Editor Saqib Saba ney media se kaha ke Akfari ke bhai Vahid Afkari aur Habib ko sazaye mout se bacha liya gaya lekin inhen bal tarteeb 54 aur 27 saal qaid ki saza sunai gayi aur sath hi har ek ko 74 koday maaray gaye. Behan bhaieyon ney mobayyana tor par 2018 mein huve ehtijaj mein hissa liya tha jo mulk mein eb-tar hoti muashi sorat-e-haal ki wajah se shuru hue they lekin wo hukoomat mukhalif tehreek mein shaamil hogaye they.

Adliya ney bhaiyon par 20 mukhtalif juraim ka ilzaam ayed kya jin mein ghair qanooni ijitmaat mein shirkat, qaumi salamti ke khilaaf juraim ki saazish, Aur aala qayed ki tauheen shaamil hai. Saba ney kaha ke Afkari ka maamla waqai sab ke liye pareshan kun hai. Wo qaumi hero hai aur hamein muzahiron mein is ki shirkat ke halaat ka pata taq nahi hai.

Saba ney kaha ke Afkari ko un ke bhaiyon ke khilaaf jhutay aatrafat mein aziat di gayi thi. Alawa azeen un ke wakeel ney kaha hai ke un ke aatrafat ki kisi adalat mein koi ahmiyat nahi hai. Saba ney kaha ke hukoomat jo bhi is se Adam itminan ka izhaar karti hai yahan tak ke pur aman tor ehtijaj karne walay afraad par bhi tashadud ke sath dabao dala jata hai.

Saba nay mazeed kaha sab se bad tareen kaam jo Irani Wrestling Champion Akfari nay apne doston, Afraad khandan aur hum watnon ki begadhti muashi sorat-e-haal ke douran hamdardi ka izhaar kiya tha, Lekin hukoomat nay un muzahiron ka jis terhan se jawab diya woh khofnaak hai.

Yeh ek aisi hukoomat ki karwai hai jo khaufzadah hai. Jis ki wajah se woh mukhalifat karne walon ke khilaaf intiqami karwai kar rahi hai. Iran sazae mout ke wasee pemanay par istemaal khusoosan muzahireen aur siyasi nazarbandon ke khilaaf badnaam hai.

Insani haqooq group Amnesty International ke mutabiq Iran har saal di jani wali phandsion ke muamlay mein sirf China se peechay hai jabkay sirf 2019 mein hi kam az kam 251 afraad ko sazae mout di gayi hai. Amnesty ney kaha ke un mein se bohat saaray phansion ko sar-e-aam sar-anjaam diya jata hai aur isi terhan Akfari aur unkay bhaieyon ke sath bhi kiya ja raha hai.