Sunday, June 2, 2024
HomeSliderIran se jung aalmi maeeshat ke liye shadeed nuqsandah : Saudi Arabia

Iran se jung aalmi maeeshat ke liye shadeed nuqsandah : Saudi Arabia

Riyadh : Saudi arab ke wali ehad Mohammad bin Salman ney kaha hai ke Iran se jung ke nateejay mein aalmi maeeshat ko shadeed nuqsaan pohanchega jabkay woh kasheedgi ke khatmay ke liye ghair fouji hal ko tarjeeh dete hain.

Amrici nashriyati idaray CBS ke programme 60 minutes ko diye gaye ek interview mein Saudi wali ehad Mohammad bin Salman ney kaha ke agar duniya Iran ko roknay ke liye mustehkam aur thos iqdamaat nahi uthaati to anay walay waqt mein mazeed kasheedgi paeda hogi jisse aalmi mafadaat ke liye khadshaat paeda honge.

Saudi wali ehad ney mazid kaha ke is se tel ki farahmi mutasir hogi aur tel ki qeematein na qabil tasawwur buland tareen satah tak pohanch jayengi jo hum ney apni zindagi mein pehlay nahi dekhi hongi. Mohammad bin Salman ney kaha ke Saudi arab aur Iran ke darmiyan jung aalmi maeeshat ke liye tabah kan hogi.

Unhon ney kaha ke yeh khitta aalmi tawanai ki 30 feesad farahmi, 20 aalmi tijarti guzargahon, duniya ki 4 feesad majmoi paedawar ki numaindagi karta hai, tasawwur karen ke yeh teeno cheeze ruk jayen to kiya hoga. Saudi wali ehad ney kaha ke is ka matlab hai ke is jung ke nateejay mein sirf Saudi arab ya mashriq wasti ke mumalik nahi balkay aalmi maeeshat tabah hojayegi. Mohammad bin Salman ney kaha ke 14 September ko Saudi arab ki tel tansibat par kiya janay wala hamla ehmaqana tha.

khayaal rahay ke Saudi arab aur America ney mazkoorah hamlay ka ilzaam Iran par aed kiya tha jis ke nateejay mein Saudi arab ke tel ke zakhair ko nuqsaan pohancha tha. Douran-e-guftagu Saudi wali ehad ney kaha tha ke iska koi strategic maqsad nahi hai, koi bewaqoof aalmi splays ke 5 feesad par hamla karega, iska wahid maqsad yeh saabit karna hai ke woh bewaqoof hain aur unhon ney aisa kiya.

Interview ke douran Mohammad bin Salman se sawal kiya gaya ke kiya unhon ney guzashta baras october mein Saudi sahafi jamal khusshogi ke qatal aur laash ke tukde karne ka hukum diya tha? jis par unhon ney kaha ke hargiz nahi, yeh ek jurm hai lekin mein Saudi arab ka qaied honay ki haesiyat se is ki mukammal zimmedaari qubool karta hon kyunkay yeh qatal Saudi hukoomat ke liye kaam karne walay afraad ki janib se kiya gaya tha.

Saudi wali ehad ney kaha ke jab Saudi hukoomat ke liye kaam karne walay ohdedaran ki janib se Saudi shehri ke khilaaf jurm ka irtikaab kiya jaye to bator-e-rehnuma mein laazmi is ki zimmedaari qubool karta hai, yeh ek ghalti thi.

Wazeh rahay ke chand roz qabal crown prince of Saudi arab ke naam se dastawizi film ke pari view mein PBS ke martin smith se guftagu karte hue jamal khusshogi ke qatal se mutaliq Saudi wali ehad ney kaha tha ke yeh mere Iqtidaar ke douran hua, mein is ki poori zimmedaari qubool karta hon. khayaal rahay ke isse qabal Saudi arab ke wali ehad ney Istanbul mein qaim Saudi council khanaay mein sahafi ke qatal ke hawalay se awaami satah par kabhi baat nahi ki thi.

Agar isi muamlay ki mazeed baat karen to rawan saal September ke wast mein Saudi sahafi jamal khashoggi ke qatal se mutaliq re-recording ki nai tafseelaat samnay aayi theen jis mein inhen yeh kehte hue suna gaya tha ke mera mun band nah karen, mujhe asthma hai.

Turk hukoomat ke haami akhbar mein shaya report mein jamal khashoggi ke qatal ki audio rerecording ke hawalay se naye dastawizaat jari ki gayi theen jo mubaiyana tor par Saudi sahafi ke aakhri lamhaat ki re-recording thi. is se qabal decemeber 2018 mein bhi jamal khashoggi ke qatal se qabal aakhri alfaaz ki audio ki transcript samnay aayi thi jis mein unhon ney qatal karne walon ko apna dam ghutney ki shikayat ki thi.

Khayaal rahay ke guzashta baras October mein Istanbul mein waqay Saudi council khanaay mein Saudi sahafi jamal khashoggi ke qatal ke baad Mohammad bin Salman ko shadeed tanqeed ka saamna raha lekin jamal khashoggi ki laash kabhi nahi mili. Saudi wali ehad ney kaha tha ke woh jamal khashoggi ke qatal se la-ilm they. yahi nahi balkay Riyadh ney baarha is ilzaam ko mustard kiya ke Mohammad bin Salman ney jamal khashoggi ke qatal ka hukum diya tha. –YTN STAFF