Monday, April 21, 2025
HomeSliderIran mein teen taajiron ko sazae maut, 32 ko qaid

Iran mein teen taajiron ko sazae maut, 32 ko qaid

Iran ki aik Inqilab Adalat ki janib se’ fasaad fi al arz’ ke ilzaam mein teen karobari shaksiaat ko sazae maut aur badunwani ke ilzaam mein 32 ko 10 se 20 saal tak qaid ki sazayen sunai gayi hain. Irani Judicial Council ke tarjuman Ghulam Hussain Mohsini Ayji ne khabar rasan idaray ‘Irna’ se baat karte hue kaha ke inqilab adalat ki taraf se mulzimaan ko di gayi sazaon ki tauseeq ke liye cases Supreme Court ko irsaal kiye gaye hain. khayaal rahay ke Iran mein iqtisadi adalatein Supreme leader ki ijazat se Judicial Council ke Chairman ki taraf se banai gayi hain. yeh adaltin do mah qabal irani currency ki achanak giravt ke baad bana gayi theen. Insani huqooq ki tanzeemon ne Iran mein mulzimaan ko andha dhund phansi aur qaid ki sazaon par Irani iqtedaar ko shadeed tanqeed ka nishana banaya hai. Haal hi mein Irani Prosecutor General Abbas Jaffer Doulatabadi ne kaha tha ke currency ke sath utaarcharhhao ke ilzaam mein 53 afraad ko hirasat mein liya gaya tha .