Tehran: Iran ne Eid ke baad tamam mazhabi aur muqaddas maqamat ko kholnay ka elaan kiya hai. Irani sadar Hassan Rouhani ne is hawalay se kaha ke Eid ke baad muqaddas maqamat ko awam ke liye khol diya jayega, Tamam muqaddas maqamat ko hifazati usooloun ke tehat khoola jayega.
Saddar Rouhani ne mazeed kaha ke hifazati usooloun par sab ko amal karna hoga. Wazeh rahay ke Iran mein corona mamlaat bhadne par March mein tamam mazarat aur muqaddas maqamat ko band kardiya gaya tha.
Darin asna Iran mein corona ke 2 hazaar 392 naye mareez samnay aeye hain, Jis ke baad ye tadaad 1 lakh 29 hazaar se badh gayi hai, Irani wazeer e sehat ke mutabiq Iran mein ek din mein 66 amwaat huven. Is terhan majmoi amwaat 7 hazaar 249 hogayi hain.
Duniya mein Coronavirus ke mareezoun ki tadaad 51 lakh 9 hazaar se badh gayi. Jabkay 3 lakh 30 hazaar se zayed afraad mohlik virus se halaak huve hain. Corona ki bemari se sehatyab honay waloun ki tadaad 20 lakh 37 hazaar se ziyada hogayi hai. –YTN STAFF