Manila: Philippine ne sabiqa Miss Iran Bahareh Zare Bahari ki janib se di gayi panah ki darkhwast ko Manzoor kar liya jo guzishta ek mah se zair-e-hirasat hai.
Arab news ki report ke mutabiq Philippine ke secretary insaaf aur tarjuman ne kaha hai ke sabiq miss Iran ko Manila ke Ninoy Aquino international airport se giraftari ke taqreeban ek mah baad mulk mein rehne ki ijazat di gayi hai.
Report ke mutabiq Bahareh Zare Bahari 18 october ko Dubai se chuttiyan manane Manila pohanchi thi jahan inhen airport se bahar niklne ki ijazat nahi di gayi thi kyunkay international police ( Interpol ) ki janib se unke red warrant jari kiye gaye they. Philippine ke secretary ne kaha ke mein tasdeeq karta hon ke unki panah ki darkhwast ki manzoori di gayi hai lekin ye maloom nahi ke Bahareh ko ta haal airport se bahar niklne ki ijazat di gayi hai ya nahi taham immigration bureau ne unki darkhwast ke mutabiq dastawizaat ki tayari shuru kardi hai.
Philippine ke bureau of immigration ne kaha ke Bahareh ko Philippine ke shehar Dagupan mein mubayyana tor par tashadud ke waqeye aur badey muqadma mein Interpol ke red notice ki bunyaad par airport ke terminal number 3 mein guzishta mah roka gaya tha. Bahareh ne kisi qisam ki ghalti ke ta-assur ko rad karte hue kaha ke unke khilaaf tamam muqadmaat jaali hain aur mein ne wazeh tor par kaha hai ke agar mujhe Iran wapas bhej diya gaya to mujhe qatal kardiya jayega ya phir qaid mein dala jayega.
Unhon ne Irani hukoomat par ilzaam aaed karte hue kaha ke Tehran mein hukoomat inhen nishana bane egi kyunkay woh opposition siyasat-daan ki himayat kar rahi hain aur riwayati eqdaar ke khilaaf muqaabla husn mein bhi hissa lerahi hain. sabiq miss Iran ne kaha ke inhen khawateen ke huooq ke hawalay se baat karne par bhi nishana banya jasakta hai. Bahareh Zare Bahari ne guzishtah mah ek interview mein kaha tha ke agar philippine se inhen wapas Iran deport kardiya gaya to woh mujhe kam-se-kam 25 saal qaid suna kar jail bhej denge bashart-e-kay mujhe qatal nahi kiya gaya ho. yaad rahay ke Bahareh Zare Bahari rawan baras January mein Iran ke opposition ke rehnuma aur national council Iran ke baani Raza pahlavi ki tasweer thaamay muqaabla husn mein shirkat ki thi. –YTN STAFF