Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderIran ke khilaaf saf bandi mein Israel aur Germany ka ittehaad

Iran ke khilaaf saf bandi mein Israel aur Germany ka ittehaad

Berlin: Iran ke khilaaf Germany ke wazeer kharja Heiko Mass ney apne Israeli hum mansab ke sath is baat par ittafaq kiya ke Iran par hathyaaron ki pabandi mein towsee ke liye koshish ki jani chahiye, Jabkay Germany ney zor dete hue kaha ke ab bhi Tehran aur aalmi taqaton ke mabain 2015 ke muahiday ko is mulk ko haasil karne se roknay ka ek behtareen tareeqa hai.

Iran par aqwam mutahidda ke mojooda hathyaaron ki pabandi 18 October ko khatam honay ki wajah se Israeli wazeer kharja Gabi Ashkenazi nay Berlin mein sahafion ko bataya ke Iran ko jadeed tareen hathyaaron ka nizaam haasil karne aur mashriq wasti mein phelanay se roknay ke liye is par aayed pabandion mein towsee ki zaroorat hai.
Unhoun nay mazeed kaha hai ke hum Europe mumalik ko bhi is Iran ke khilaaf ek saf mein daikhna chahtay hain jahan nah sirf Germany balkay deegar mumalik bhi is ki rokk thaam karte hain. Yeh khittay ke istehkaam ke liye madadgaar hai.

Gabi Ashkenazi Germany ki dawat par Europe wazraye kharja ke do roza ijlaas mein shirkat ke liye Berlin gaye they. Mass ny kaha ke America Iran par pabandi ki mukammal towsee chahta hai, Jisay Roos aur China ny aqwam mutahidda ki salamti council mein taqreeban VETO kar diya hai. Germany aur deegar mumalik is waqt kuch darmiyani raah talaash karne ki koshish kar rahay hain jo Roosi aur cheeni manzoori ke sath mil sakay.

Mass neh kaha hum ek safarti hal tak pounchanay ki koshish kar rahay hain taakay mustaqbil mein Iran par asleha ki pabandi ho. Isi ke sath hi unhoun neh kaha ke Germany ab bhi 2015 mein Iran ke sath mushtarqa jamia mansoobay ( JCPOA ) par amal pera hai, Jis neh apne johri programme par pabandion ke badlay mein mulk ko muashi mara-aat dainay ka wada kiya hai, Yeh mulk ko johri hatyar ki taraqqi se roknay ke liye behtareen moahida hai.

Mass ne kaha ke JCPOA se baher ke khadshaat jaisay Iran, Ballistic Missile programme aur shaam, Lebanon aur Iraq mein asar-o-rasookh ko daur karne ki zaroorat hai lekin yeh ke hum Iran ko johri hathyaar haasil karne se roknay ke liye JCPOA ko mehfooz rakhna chahtay hain.

Unhoun ney kaha Iran ko khittay mein apna nuqta-e-nazar tabdeel karna chahiye, Hum Iran ke baray mein aasaan rawayya ikhtiyar nahi kar saktay kyunkay hum jantay hain ke Iran khittay mein ek khatarnaak kirdaar ada karta hai. Dono wazraa ney House of Vancy Conference Memorial mein mulaqaat ki, Jo junoob maghribi Berlin ka ek wala hai jahan senior Nazis and Bureaucrats ney 1942 mein Holocaust ke mansoobon ko marboot kiya.