Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderIran ke khilaaf Bartania , France aur Germany ka karwai ka elaan

Iran ke khilaaf Bartania , France aur Germany ka karwai ka elaan

Paris: Nuclear muahiday ke muamlay par E Three mumalik aur Tehran ke darmain phir kasheedgi peda hogayi hai. Bartania, France aur Germany ne Iran ki janib se nuclear muahiday ki khilaaf warzi ke khilaaf qawaid ke mutabiq karwai ka elaan kar diya hai.
Tenoun mumalik ke wazraye kharja ne mushtarqa bayan mein tanaza ke hal ke mikanzam ke aaghaz ka elaan kiya aur kaha ke Europi mumalik ab bhi johri muahiday par amal daraamad ke khwahish mand hain.

Doosri janib Iran ne Europi bayan ko mustard karte hue kaha hai ke agar Europi mumalik is amal ka najaaiz istemaal chahtay hain to phir wo nataij bhogatne ke liye bhi tayyar rahen.

Tarjuman Irani weezar te kharja ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke johri muahiday ki roos muahiday ke tamam fareeqoun par mushtamil joint commission 15 din ke andar muamlay ke hal ka paband hai. Commission ki nakami ki soorat mein muahiday mein shaamil mumalik ke wazraye kharja muamlay ko 20 din mein hal karne ke paband hunge.
Media ke mutabiq agar phir bhi maamla te nah paaya to moahida khatam hojaye ga. 2015 mai honay wala moahida Iran, America, Roos, China, Bartania, France aur Germany ke mabain huva tha lekin Donald Trump ne 2018 mai muahiday se alehadgi ikhtiyar karkay Iran par izafi pabandiyan aed kardi then. –YTN STAFF