Monday, September 16, 2024
HomeTrending NewsIran aur Pakistan ki sarhad khul di gayi

Iran aur Pakistan ki sarhad khul di gayi

Karachi: Pakistan ne Balochistan ke sarhadi azlaa mein khoraak aur zurori ashya ki qillat ke pesh e nazar daidh mah baad Iran ke sath juzwi tor par apni sarhad khol di hai. Pakistan ke wifaqi wizarat dakhla ke mutabiq Taftan sameit 5 sarhadi raastoun se haftay mein sirf 3 din mehdood pemanay par khanay peenay ki ashya Pakistan laane ki ijazat di gayi hai jabkay khajoroun ki daraamad bhi shuru hogayi hai.

Balochistan ke 5 azlaa Chagai, Washuk, Panjgur, Kach aur Gwadar ki sarhadein Iran ke sath lagti hain. Un paanchoun azlaa ke sarhadi ilaqoun ke makeeno ka Petrol, Diesel aur khoraak sameit roz maraah ke istemaal ki zurori ashya ka inhisaar Iran par hai.
Pakistan ki qaumi salamti Committee ke faislay ke tehat tamam hamsaaya mumalik ke sath sarhadein 13 March se band kardi gayi then jis ke baais Iran se mulhiqa Balochistan ke sarhadi azlaa mein khoraak ki qillat peda hogayi thi. Is ke alawa Petrol aur Diesel ki qeematoun mein fi Letter 50 rupay tak ka izafah huwa jabkay khushk khoraak ki qeematein bhi dugna hogayen.

Wifaqi wizarat dakhla ke aalamia ke mutabiq rabita committee ke ijlaas mein Pak Iran sarhad 21 aur 27 April se 2 marhaloun mein juzwi tor par kholnay ki ijazat di gayi hai. Aalamia ke mutabiq Kach mein Mandrandek, Gwadar mein Kabad Rimdan, Chagai mein Taftan, Washuk mein mashkil aur zila Panjgoor mein sarhad haftay mein sirf 3 din peer, Charshumbe aur haftay ke roz subah 8 se shaam 4 bajey tak khulegi. Is douran khajoroun ke alawa Balochistan ke sarhadi azlaa ke liye sirf zurori khanay peenay ki ashya aur Petrol o Diesel Pakistan laane ki ijazat hogi. –YTN STAFF